Table of Contents
Introduction
In this blog post, “Best Motivational Quotes In Urdu.” Immerse yourself in a collection of uplifting words. These quotes, carefully curated for their motivational essence, will ignite a spark of positivity in your life. Join us on a journey of motivation and empowerment as we explore profound wisdom expressed in the Urdu language.
اس بلاگ پوسٹ میں اردو زبان میں بہترین موٹیویشنل اقوال پیش کیے گئے ہیں جس میں عظیم لوگوں کے حوصلہ دینے والے خوبصورت الفاظ کو اکٹھا کیا گیا ہے. یہ اردو اقوال یقیناً آپ کی زندگی میں ایک مثبت تبدیلی لائیں گے اور آپ میں آگے بڑھنے اور کامیابی حاصل کرنے کی ہمت پیدا کریں گے.
Motivational Quotes In Urdu
1- خود پر یقین رکھیں آپ اپنی سوچ سے زیادہ بہادر ہیں، اپنے علم سے زیادہ باصلاحیت اور اپنے تصور سے بھی زیادہ قابل ہیں.
Khud par yaqeen rakhein, aap apni soch se zyada bahadur hain, apne ilm se zyada basalahiayat aur apne tasawwur se bhi zyada qabil hain.
2- انسان اپنے آپ کو فتح کر کے ہی دنیا کو فتح کر سکتا ہے.
Insaan apne aap ko fatah kar ke hi duniya ko fatah kar sakta hai.
3- بڑے کارنامے وہی لوگ سرانجام دیتے ہیں جو یقین کرنا، کوشش کرنا، سیکھنا اور شکرگزار رہنا نہیں چھوڑتے.
Baray karnamay wohi log sar anjam dete hain jo yaqeen karna, koshish karna, seekhna aur shukar guzaar rehna nahi chhodte.
4- بری خبر یہ ہے کہ وقت تیزی سے پرواز کرتا ہے اور اچھی خبر یہ ہے کہ آپ پائلٹ ہیں.
Buri khabar yeh hai ke waqt tezi se parwaz karta hai aur achi khabar yeh hai ke aap pilot hain.
5- اپنا چہرہ ہمیشہ سورج کی روشنی کی طرف رکھیں اور سائے ہمیشہ آپ کے پیچھے ہوں گے.
Apna chehra hamesha sooraj ki roshni ki taraf rakhein aur saye hamesha aap ke peechhe honge.
6- کوئی کامیابی حتمی نہیں ہوتی، کوئی ناکامی مہلک نہیں ہوتی آگے بڑھتے رہنے کی ہمت زیادہ اہمیت رکھتی ہے.
Koi kamiyabi hatmi nahi hoti, koi nakami mohlik nahi hoti, aage barhte rahne ki himmat zyada ahmiyat rakhti hai.
7- آپ اپنی زندگی کی راہ خود متعین کریں دوسرے لوگوں کو اپنی زندگی کا اسکرپٹ نہ لکھنے دیں.
Aap apni zindagi ki raah khud mutayun karein, doosre logon ko apni zindagi ka script na likhne dein.
8- آپ کبھی بھی اتنے بوڑھے نہیں ہوتے کہ کوئی دوسرا مقصد نہ طے کر سکیں یا کوئی نیا خواب نہ دیکھ سکیں.
Aap kabhi bhi itne boorhe nahi hote ke koi doosra maqsad na tay kar sake ya koi naya khwaab na dekh sakain.
9- مثبت سوچ رکھنے والا پوشیدہ کو دیکھتا ہے، غیر محسوس کو محسوس کرتا ہے، اور ناممکن کو حاصل کرتا ہے.
Musbat soch rakhne wala posheeda dekhta hai, ghair mehsoos ko mehsoos karta hai, aur namumkin ko haasil karta hai.
10- ہم اپنے تاریک ترین لمحات میں ہی روشنی کو دیکھ سکتے ہیں.
Hum apne tareek tareen lamhaat mein hi roshni ko dekh sakte hain.
11- اگر آپ کے خیالات اچھے ہیں تو وہ آپ کے چہرے پر سورج کی کرنوں کی طرح چمکیں گے اور آپ ہمیشہ خوبصورت نظر آئیں گے.
Agar aap ke khayalat achhe hain toh woh aap ke chehre par sooraj ki kirnon ki tarah chamkein ge aur aap hamesha khoobsurat nazar aayen ge.
Subah par azam utho aur raat ko mutmaen ho kar bistar par jao.
13- اپنے عقائد کے مطابق جینے سے آپ دنیا کا رخ موڑ سکتے ہیں.
Apne aqaid ke mutabiq jeene se aap duniya ka rukh mod sakte hain.
12- صبح پرعزم اٹھو اور رات کو مطمئن ہو کر بستر پر جاؤ.
14- زندگی سائیکل کی سواری کی طرح ہے اپنا توازن برقرار رکھنے کے لیے آپ کو حرکت کرتے رہنا ہے.
Zindagi cycle ki sawari ki tarah hai, apna tawazun barqarar rakhne ke liye aap ko hamesha chalte rehna hai.
15- ہمارے بیٹھے رہنے سے خوف پیدا ہوتے ہیں مگر جب ہم اٹھ کر عمل کرتے ہیں تب ان پر قابو پا لیتے ہیں.
Hamare baithy rehny se khauf paida hote hain magar jab hum uth kar amal karte hain tab un par qabu pa lete hain.
16- ہمیں زندگی میں خطرات مول لینے کی ضرورت ہوتی ہے. ہمیں ٹوٹنے کی ضرورت ہے. ہمیں ان کو غلط ثابت کرنے کی ضرورت ہے جو ہماری شکست کا انتظار کر رہے ہیں بس ہم نے مایوس نہیں ہونا.
Hamein zindagi mein khatrat mol lene ki zaroorat hoti hai. Hamein tootne ki zaroorat hoti hai. Hamein unko ghalt sabit karne ki zaroorat hoti hai jo hamari shikast ka intezaar kar rahe hain bas hum ne mayus nahi hona.
17- جب ہم کھڑے ہو کر چلنا شروع کر دیتے ہیں تو زندگی ہمارے لیے راستے کھولنا شروع کر دیتی ہے.
Jab hum khade ho kar chalna shuru kar daity hain toh zindagi hamare liye raste kholna shuru kar daiti hai.
18- آپ کو وہ بننے میں جو آپ بننا چاہتے ہیں کبھی دیر نہیں ہوتی آپ عمر کے کسی حصے میں بھی اپنا مقصد پا سکتے ہیں.
Aap ko woh banne mein jo aap banna chahte hain kabhi der nahi hoti. Aap umar ke kisi hisse mein bhi apna maqsad pa sakte hain.
19- آپ کو خوشگوار زندگی کبھی نہیں ملتی آپ کو اسے خوشگوار بنانا پڑتا ہے.
Aap ko khushgawar zindagi kabhi nahi milti, aap ko use khushgawar banana parta hai.
20- کسی بھی شعبے میں کمال حاصل نہیں کیا جا سکتا ہے، لیکن اگر ہم کمال کا پیچھا کرتے ہیں تو ہم برتری حاصل کر سکتے ہیں.
Kisi bhi shobe mein kamal hasil nahi kiya ja sakta, lekin agar hum kamal ka peecha karte hain toh hum bartari hasil kar sakte hain.
21- بہت سے لوگ یہ کہنے سے بھی ڈرتے ہیں کہ وہ زندگی میں کیا چاہتے ہیں اس لیے انہیں وہ نہیں ملتا جو وہ چاہتے ہیں.
Bohat se log yeh kehne se bhi darte hain ke woh zindagi mein kya chahte hain is liye unhe woh nahi milta jo woh chahte hain.
22- روشنی کے چمکدار ہونے کے لیے، اندھیرے کا موجود ہونا ضروری ہے.
Roshni ke chamakdar hone ke liye, andhere ka maojood hona zaroori hai.
23- عظیم بننے کی کوشش کرنا تکلیف دہ ہے آپ غلطیاں کرتے ہیں آپ ان سے سیکھنے کی کوشش کرتے ہیں اگر آپ نہیں سیکھتے تو تکلیف مزید بڑھ جاتی ہے.
Azim banne ki koshish karna takleef deh hai. Aap ghalatiyan karte hain, aap unse seekhte hain, agar aap nahi seekhte toh takleef mazeed barh jati hai.
24- کبھی سر نہ جھکائیں اسے ہمیشہ بلند رکھیں دنیا کی آنکھوں میں آنکھیں ڈال کر دیکھیں.
Kabhi sar na jhukayein, use hamesha buland rakhein, duniya ki aankhon mein aankhein daal kar dekhein.
25- اگر ہمارا دماغ کسی چیز کا تصور کر سکتا ہے، اگر ہمارا دل اس پر یقین کر سکتا ہے، تو ہم اسے حاصل کر سکتے ہیں.
Agar hamara dimaagh kisi cheez ka tasawwur kar sakta hai, agar hamara dil us par yaqeen kar sakta hai, toh hum use haasil kar sakte hain.
26- اگر آپ اپنے مثبت عمل کو مثبت سوچ سے جوڑ دیں تو نتیجہ کامیابی کی صورت میں ملے گا.
Agar aap apne musbat amal ko musbat soch se jor dein to natija kamiyabi ki soorat mein mile ga.
27- جب کبھی زندگی میں کچھ برا ہو تو پرسکون رہیں، لمبی سانس لیں اور اپنی سوچ کا مرکز کسی مثبت پہلو کی طرف کر دیں تاکہ آپ دوبارہ سے لڑنے کے لیے تیار ہو جائیں.
Jab kabhi zindagi mein kuch bura ho to pursukoon rahein, lambi saans lein aur apni soch ka markaz kisi musbat pehlu ki taraf kar dein taake aap dobara se larnay ke liye tayyar ho jayein.
28- اگر زندگی میں چیزیں اور حالات آپ کی مرضی کے مطابق نہیں ہیں تو یاد رکھیں کہ ہر آفت اور آزمائش کے اندر ترقی اور خوشحالی کے بیج موجود ہوتے ہیں.
Agar zindagi mein chezein aur haalaat aap ki marzi ke mutabiq nahi hain to yaad rakhein ke har aafat aur azmaish ke andar taraqqi aur khushhali ke beej maojood hote hain.
29- اپنے اٹھائے گئے ہر قدم سے لطف اندوز ہوں اگر آپ متجسس ہیں تو پھر آپ کی روزمرہ کی زندگی کے پس منظر میں آپ کے لیے ہمیشہ کچھ نہ کچھ نیا کھوجنے کو ضرور ہو گا.
Apne uthe gaye har qadam se lutf andooz hon agar aap mutajassas hain to phir aap ki rozmarra ki zindagi ke pase manzar mein aap ke liye hamesha kuch na kuch naya khojne ko zaroor hoga.
30- آپ کو اپنے اندر ہی ایک بدترین دشمن اور ایک بہترین دوست مل سکتا ہے.
Aap ko apne andar hi ek badtareen dushman aur ek behtareen dost mil sakta hai.
31- قسمت پسینہ بہانے کا صلہ ہے جتنا زیادہ آپ پسینہ بہاتے ہیں قسمت اتنا ہی اچھی ہوتی جاتی ہے.
Qismat pasina bahaane ka sila hai, jitna zyada aap pasina bahaate hain qismat utna hi achi hoti jaati hai.
32- اگر ایک مثبت سوچ کو موقع دیا جائے تو وہ منفی سوچ رکھنے والوں کی پوری فوج پر قابو پا سکتی ہے.
Agar ek musbat soch ko maoqa diya jaye to woh manfi soch rakhne walon ki poori faouj par qabu pa sakti hai.
33- جس چیز کو انسان سوچ سکتا ہے اسے کر بھی سکتا ہے اور اسی طرح سوچ میں آنے والے مسائل پر قابو بھی پا سکتا ہے.
Jis cheez ko insaan soch sakta hai, use kar bhi sakta hai aur isi tarah soch mein aane wale masail par qabu bhi pa sakta hai.
34- خوبصورت روحیں بدصورت تجربات سے بنتی ہیں.
Khubsurat roohain badsoorat tajurbaat se banti hain.
35- کچھ مچھلیاں پانی کے بہاؤ کے مخالف سمت میں تیرتی ہیں اسی طرح کچھ لوگ زندگی میں آنے والی آزمائشوں سے محبت کرتے ہیں.
Kuch machhliyan paani ke bahao ke mukhalif simt mein tairti hain, isi tarah kuch log zindagi mein anay wali azmaishon se mohabbat karte hain.
36- زندگی کے سفر میں آنے والی آزمائشیں ہماری کمزوریوں کو ظاہر کرنے نہیں آتیں بلکہ ہماری اندرونی طاقت کو کھوجنے میں مدد کرتی ہیں ہمیں ہماری طاقت کا اندازہ تبھی ہو سکتا ہے جب ہم اپنی زندگی میں آنے والی مصیبتوں سے لڑتے ہیں.
Zindagi ke safar mein anay wali azmaishen hamari kamzoriyon ko zahir karne nahi aati, balkeh hamari androni taqat ko khojne mein madad karti hain. Humein hamari taqat ka andaaza tabhi ho sakta hai jab hum apni zindagi mein anay wali musibaton se larte hain.
37- اپنی سوچ بدلنے سے آپ اپنی دنیا بدل سکتے ہیں.
Apni soch badalne se aap apni duniya badal sakte hain.
38- جو کچھ بھی آپ کی زندگی میں ہوا اس کے لیے شکرگزار رہیں کیونکہ وہ تمام تجربات تھے جن سے آپ کی زندگی میں مثبت تبدیلی رونما ہوئی.
Jo kuch bhi aap ki zindagi mein hua us ke liye shukar guzaar rahein kyun ke woh tamam tajurbat the jin se aap ki zindagi mein musbat tabdili ronuma hui.
39- اپنی شخصیت کی تعمیر سے انسان اپنے وقت کو محفوظ بنا سکتا ہے کیونکہ جتنا زیادہ آپ بہتر ہوتے جاتے ہیں اتنا ہی کم وقت میں آپ اپنی منزل حاصل کر سکتے ہیں.
Apni shakhsiyat ki tameer se insaan apne waqt ko mahfooz bana sakta hai kyun ke jitna zyada aap behtar hote jaate hain utna hi kam waqt mein aap apni manzil hasil kar sakte hain.
40- زندگی نشوونما کا نام ہے اگر ہم عملی اور روحانی طور پر ترقی کرنا چھوڑ دیں تو ہم ایک مردے سے بڑھ کر کچھ نہیں ہیں.
Zindagi nashonuma ka naam hai agar hum amli aur rohani taor par taraqqi karna chor dein to hum ek murda se barh kar kuch nahi hain.
41- آگے بڑھنے کا ایک ہی راستہ ہے وہ یہ کہ ہم خود کو آزمائش میں ڈالیں.
Agay barhne ka ek hi raasta hai woh yeh ke hum khud ko azmaish mein daalein.
42- مثبت سوچ نہ صرف آپ کو متاثر کرتی ہے بلکہ آپ کے ساتھ موجود ہر انسان کو متاثر کرتی ہے جس سے انسان کی ترقی کے لئے مثبت ماحول پیدا ہو جاتا ہے.
Musbat soch na sirf aap ko mutasir karti hai balkeh aap ke saath maojood har insaan ko mutasir karti hai jisse insaan ki taraqqi ke liye musbat mahaul paida hota hai.
43- عظیم رہنما دوسروں میں موجود عظمت کو دیکھ لیتے ہیں جو وہ خود سے نہیں دیکھ سکتے اور ان کو اس مقام تک لے جاتے ہیں جسے وہ جانتے تک نہیں.
Azeem rehnuma doosron mein maojood azmat ko dekh lete hain jo woh khud se nahi dekh sakte aur un ko us maqam tak le jaate hain jise woh jaante tak nahi.
44- محض یہ یقین کرنے سے کہ آپ کر سکتے ہیں آپ کی آدھی منزل طے ہو جاتی ہے.
Mehaz yeh yaqeen krny se keh aap kr skty hain aap ki adhi manzil tay ho jaati hai.
45- مایوسی کمزوری کی طرف لے جاتی ہے اور امید طاقت کی طرف.
Mayoosi kamzori ki taraf le jaati hai aur umeed taaqat ki taraf.
46- آپ کا ذہن ہی سب کچھ ہے جو کچھ آپ سوچتے ہیں وہی کچھ بن جاتے ہیں.
Aap ka zehan hi sab kuch hai, jo kuch aap sochte hain wohi aap ban jaate hain.
47- یہ اپنے دل پر لکھ لیں کہ سال کا ہر دن آپ کے لیے ایک بہترین دن ہے.
Yeh apne dil par likh lein ke saal ka har din aap ke liye ek behtareen din hai.
48- مثبت ذہن ہر چیز میں مواقع تلاش کرتا ہے جبکہ منفی ذہن ہر چیز میں نقص تلاش کرتا ہے.
Musbat zehan har cheez mein mawaqe talash karta hai jab ke manfi zehan har cheez mein naqs talash karta hai.
49- اگر آپ اپنا ذہن بدل سکتے ہیں تو آپ اپنی زندگی بدل سکتے ہیں.
Agar aap apna zehan badal sakte hain to aap apni zindagi badal sakte hain.
Motivational Quotes In Urdu For Success
50- مثبت سوچ ایک ایسا ہتھیار ہے جو انسان کو زندگی کی رکاوٹوں پر قابو پانے، درد سے لڑنے اور نئی منزلوں تک پہنچنے میں مدد دیتا ہے.
Musbat soch aik aisa hathiyaar hai jo insaan ko zindagi ki rukaawaton par qaboo paane, dard se larnay aur nai manzilon tak pahunchne mein madad daita hai.
51- اپنے ذہن میں موجود خوف سے نہ گھبرائیں بلکہ اپنے دل میں موجود خوابوں سے رہنمائی لیں.
Apne zehan mein maojood khauf se nah ghabrayein, balkay apne dil mein maojood khawabon se rahnumai lein.
52- جس چیز پر آپ قابو نہیں پا سکتے اس کے بارے میں فکر کرنے کے بجائے، اپنی توانائی کو اس طرف منتقل کردیں جس سے آپ کچھ تخلیق کر سکتے ہیں.
Jis cheez par aap qabu nahi pa sakte us ke bare mein fikar karne ke bajaye, apni taqat ko us taraf muntaqil kar dain jis se aap kuch takhleeq kar sakte hain.
53- اپنے خوابوں کے مطابق زندگی جیو. اتنے دلیر بنو کہ دوسروں کی توقعات اور آراء کے بجائے اپنی زندگی اپنے وژن اور مقصد کے مطابق گزار سکو.
Apne khawabon ke mutabiq zindagi jio. Itne dalair bano ke doosron ki tawakuaat aur araa ke bajaye apni zindagi apne vision aur maqsad ke mutabiq guzar sako.
54- کامیابی یہ نہیں ہے کہ آپ نے کتنا بلند مقام پا لیا ہے بلکہ کامیابی یہ ہے کہ آپ اس دنیا میں کتنی مثبت تبدیلی لائے ہیں.
Kamiyabi yeh nahi hai ke aap ne kitna buland maqam pa liya hai, balkay kamiyabi yeh hai ke aap is dunya mein kitni musbat tabdili laye hain.
55- اس کے پیچھے بھاگو جو آپ کے دل کو اچھا لگتا ہے نہ کہ جو آپ کی آنکھوں کو اچھا لگتا ہے.
Us ke peeche bhago jo aap ke dil ko acha lagta hai, nah ke jo aap ki aankhon ko acha lagta hai.
56- آگے بڑھتے رہو آپ کے مشکل ترین حالات بھی آپ کی زندگی کے سب سے بڑے لمحات بن سکتے ہیں. مشکل حالات بالآخر انسان کو مضبوط بناتے ہیں.
Agay barhte raho, aap ke mushkil tareen haalaat bhi aap ki zindagi ke sab se baray lamhat ban sakte hain. Mushkil haalaat bilaakhir insaan ko mazboot banate hain.
57- رویہ ایک چھوٹی سی چیز ہے مگر یہ بہت بڑے فرق ڈال سکتا ہے.
Rawiya aik chhoti si cheez hai magar yeh baohat baray farq daal sakta hai.
58- زندگی بہت آسان اور خوبصورت ہو جاتی ہے جب ہم دوسروں میں اچھائی دیکھنا شروع کر دیتے ہیں.
Zindagi baohat aasaan aur khubsurat ho jaati hai jab hum doosron mein achhai dekhna shuru kar daity hain.
59- ناکامیوں کے بارے میں فکر نہ کریں، ان مواقعوں کی فکر کریں جنہیں آپ بغیر کوشش کے کھو دیتے ہیں.
Nakamiyon ke bare mein fikar nah karein, un mawaaqon ki fikar karein jinhen aap baghair koshish ke kho daity hain.
60- پرامید ہونا ایک حیرت انگیز چیز ہے یہ آپ کو صحت مند اور زندہ دل رکھتا ہے.
Purumeed hona ek herat angez cheez hai, yeh aap ko sehatmand aur zindah dil rakhta hai.
Also Read
50 Amazing Famous Allama Iqbal Quotes In Urdu
61- بنیادی طور پر آپ خود ہی اس کے ذمہ دار ہیں کہ آپ کیا بننا چاہتے ہیں اور آپ کتنا خوش رہنا چاہتے ہیں.
Bunyadi taor par aap khud hi is ke zimmedar hain ke aap kya banna chahte hain aur aap kitna khush rehna chahte hain.
62- آپ کا مثبت عمل مثبت سوچ کے ساتھ مل کر کامیابی کا باعث بنتا ہے.
Aap ka musbat amal musbat soch ke sath mil kar kamiyabi ka baa’is banta hai.
63- الفاظ اور خیالات دنیا کو بدل سکتے ہیں.
Alfaz aur khayalaat dunya ko badal sakte hain.
64- بہترین انتقام یہ ہے کہ اپنے دشمن جیسا نہ بنو.
Behtareen intiqam yeh hai ke apne dushman jaisa nah bano.
65- زندگی میں کچھ نہ کرنا بھی ناانصافی ہے.
Zindagi mein kuch nah karna bhi na-insafi hai.
66- ہر نیا دن اپنے انعامات ساتھ لاتا ہے.
Har naya din apne in’aamat sath laata hai.
67- ہم موت سے نہیں بچ سکتے لیکن کم از کم اس کے خوف سے بچ سکتے ہیں.
Hum maout se nahin bach sakte lekin kam az kam is ke khauf se bach sakte hain.
68- بہادر انسان ہر طرح سے آزاد ہوتا ہے.
Bahadur insaan har tarah se azaad hota hai.
69- کوئی بھی بڑی چیز اچانک تخلیق نہیں ہوتی اس کے لیے وقت اور محنت لگتی ہے.
Koi bhi badi cheez achanak takhleeq nahi hoti, is ke liye waqt aur mehnat lagti hai.
70- زندگی میں آنے والی مشکلات ہی انسان کا حقیقی روپ ظاہر کرتی ہیں.
Zindagi mein anay wali mushkilaat hi insaan ka haqeeqi roop zahir karte hain.
71- دولت عقلمند کی غلام اور احمق کی آقا ہوتی ہے.
Daulat aqalmand ki ghulam aur ahmaq ki aqa hoti hai.
72- خوف کی بنیادی وجہ جہالت ہے.
Khauf ki bunyadi wajah jahalat hai.
- ہم صرف ایک دفعہ ہی جیتے ہیں لیکن اگر ہم بہترین طریقے سے جئیں تو ایک بار ہی کافی ہے.
Hum sirf aik dafa hi jeetay hain lekin agar hum behtareen tareeqay se jeein to aik bar hi kafi hai.
- ہر چیز جو ہم سوچ سکتے ہیں اسے حقیقت میں بھی بدل سکتے ہیں.
Har cheez jo hum soch sakte hain use haqeeqat mein bhi badal sakte hain.
- بہترین زندگی وہی ہے جو ہم دوسروں کے لیے جیتے ہیں.
Behtareen zindagi wohi hai jo hum doosron ke liye jeete hain.
- مشکلات ہی انسان کو بتاتی ہیں کہ درحقیقت وہ کیا ہے.
Mushkilaat hi insan ko batati hain ke darhaqeeqat woh kya hai.
- ہر چیز جو ہم زندگی میں چاہتے ہیں وہ خوف کے دوسری طرف ہے.
Har cheez jo hum zindagi mein chahte hain woh khauf ke dosri taraf hai.
- ناممکن سفر صرف وہی ہے جس کا ہم آغاز نہیں کرتے.
Namumkin safar sirf wohi hai jiska hum aghaaz nahi karte.
- ہم ان لوگوں میں اطمینان محسوس کرتے ہیں جو ہماری ہر بات سے اتفاق کرتے ہیں مگر ترقی ہم ان لوگوں میں رہ کر کرتے ہیں جو ہم سے اتفاق نہیں کرتے.
Hum un logon mein itminan mehsoos karte hain jo hamari har baat se ittefaq karte hain magar taraqqi hum un logon mein reh kar karte hain jo hum se ittefaq nahi karte.
- جس انسان کے پاس ایک گھڑی ہوتی ہے اسے درست وقت کا علم ہوتا ہے مگر جس کے پاس دو گھڑیاں ہوتی ہیں وہ ہمیشہ شک میں ہی پڑا رہتا ہے.
Jis insaan ke paas aik ghadi hoti hai use durust waqt ka ilm hota hai magar jis ke paas do ghadiyan hoti hain woh hamesha shak mein hi para rehta hai.
- اتنے اچھے بن جاؤ کہ لوگ چاہ کر بھی آپ کو نظرانداز نہ کر سکیں.
Itnay achay ban jao ke log chaah kar bhi aap ko nazarandaz nah kar saken.
- جہاں شاگرد استاد کو پسند نہیں کرتا وہاں تعلیم نہیں حاصل کی جا سکتی.
Jahan shagird ustad ko pasand nahi karta wahan taleem nahi hasil ki ja sakti.
- غریب لوگ غربت کی وجہ سے بیوقوف ہوتے ہیں جبکہ امیر لوگ لالچ کی وجہ سے.
Ghareeb log ghurbat ki wajah se bewaqoof hote hain jabke ameer log lalach ki wajah se.
- کتابیں پڑھتے رہیں، لیکن یاد رکھیں کہ کتاب صرف ایک کتاب ہے اس کے علاوہ آپ کو خود سے سوچنا سیکھنا چاہیے.
Kitabein parhte rahiye, lekin yaad rakhiye ke kitaab sirf ek kitaab hai is ke ilawa aap ko khud sochna seekhna chahiye.
- ایک ہی وقت میں دو کام کرنے کا مطلب ہے کہ آپ کوئی بھی کام نہیں کریں گے.
Aik hi waqt mein do kaam karne ka matlab hai ke aap koi bhi kaam nahi karen ge.
- جہاں پر بھی تباہی ہو گی وہیں پر خزانہ ملنے کی امید پیدا ہو گی.
Jahan par bhi tabahi hogi wahan par khazana milne ki umeed paida hogi.
- اگر آپ ناکام نہیں ہوتے ہیں تو اس کا مطلب ہے کہ آپ کچھ بھی اہم نہیں کرتے ہیں.
Agar aap nakam nahi hote hain to is ka matlab hai ke aap kuch bhi ahem nahi karte hain.
- اکثر لوگ اپنی مشکل سے کمائی ہوئی رقم ان چیزوں پر خرچ کرتے ہیں جن کی انہیں ضرورت نہیں ہوتی اور ان لوگوں کو متاثر کرنے کے لیے خرچ کرتے ہیں جنہیں وہ پسند نہیں کرتے.
Aksar log apni mushkil se kamai hui raqam un cheezon par kharch karte hain jin ki unhein zarurat nahi hoti, aur un logon ko mutasir karne ke liye kharch karte hain jinhain woh pasand nahi karte.
- بینک ایک ایسی جگہ ہے جہاں پر وہ مناسب موسم میں آپ کو چھتری دیتے ہیں اور بارش شروع ہونے پر اسے واپس مانگنا شروع کر دیتے ہیں.
Bank ek aisi jagah hai jahan par woh munasib mausam mein aap ko chhatri dete hain aur barish shuru hone par usy wapis mangna shuru karte hain.
- اگر دنیا میں عورت نہ ہوتی تو دنیا میں موجود پیسے کا کوئی مقصد نہ ہوتا.
Agar duniya mein aurat nahi hoti to duniya mein maojood paisay ka koi maqsad nah hota.
- پیسے سے محبت نہیں خریدی جا سکتی ہے، لیکن یہ آپ کی سودے بازی کی پوزیشن کو بہتر بنا سکتا ہے.
Paisay se mohabbat nahi ki ja sakti hai, lekin yeh aap ki saudaybazi ki position ko behtar bana sakta hai.
- بے وقوف انسان اور اس کا پیسہ بہت جلد ایک دوسرے سے جدا ہو جاتے ہیں.
Bewaqoof insaan aur uska paisa bohat jald ek dosre se juda ho jate hain.
- دوستی پیسے کی طرح ہوتی ہے جسے آسانی سے بنایا جا سکتا ہے مگر بچانا مشکل ہوتا ہے.
Dosti paisay ki tarah hoti hai jise aasani se banaya ja sakta hai magar bachana mushkil hota hai.
- کچھ لوگ جعلی پیسہ بناتے ہیں مگر کچھ لوگ ایسے بھی ہوتے ہیں جنہیں زیادہ پیسہ جعلی بنا دیتا ہے.
Kuch log jaali paisa banate hain magar kuch log aise bhi hote hain jinhein zyada paisa jaali bana deta hai.