...

150 Best Motivational Quotes In Urdu

Daulat aqalmand ki ghulam aur ahmaq ki aqa hoti hai.

72- خوف کی بنیادی وجہ جہالت ہے.

Khauf ki bunyadi wajah jahalat hai.

  1. ہم صرف ایک دفعہ ہی جیتے ہیں لیکن اگر ہم بہترین طریقے سے جئیں تو ایک بار ہی کافی ہے.

Hum sirf aik dafa hi jeetay hain lekin agar hum behtareen tareeqay se jeein to aik bar hi kafi hai.

  1. ہر چیز جو ہم سوچ سکتے ہیں اسے حقیقت میں بھی بدل سکتے ہیں.

Har cheez jo hum soch sakte hain use haqeeqat mein bhi badal sakte hain.

  1. بہترین زندگی وہی ہے جو ہم دوسروں کے لیے جیتے ہیں.

Behtareen zindagi wohi hai jo hum doosron ke liye jeete hain.

  1. مشکلات ہی انسان کو بتاتی ہیں کہ درحقیقت وہ کیا ہے.

Mushkilaat hi insan ko batati hain ke darhaqeeqat woh kya hai.

  1. ہر چیز جو ہم زندگی میں چاہتے ہیں وہ خوف کے دوسری طرف ہے.

Har cheez jo hum zindagi mein chahte hain woh khauf ke dosri taraf hai.

  1. ناممکن سفر صرف وہی ہے جس کا ہم آغاز نہیں کرتے.

Namumkin safar sirf wohi hai jiska hum aghaaz nahi karte.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. ہم ان لوگوں میں اطمینان محسوس کرتے ہیں جو ہماری ہر بات سے اتفاق کرتے ہیں مگر ترقی ہم ان لوگوں میں رہ کر کرتے ہیں جو ہم سے اتفاق نہیں کرتے.

Hum un logon mein itminan mehsoos karte hain jo hamari har baat se ittefaq karte hain magar taraqqi hum un logon mein reh kar karte hain jo hum se ittefaq nahi karte.

  1. جس انسان کے پاس ایک گھڑی ہوتی ہے اسے درست وقت کا علم ہوتا ہے مگر جس کے پاس دو گھڑیاں ہوتی ہیں وہ ہمیشہ شک میں ہی پڑا رہتا ہے.

Jis insaan ke paas aik ghadi hoti hai use durust waqt ka ilm hota hai magar jis ke paas do ghadiyan hoti hain woh hamesha shak mein hi para rehta hai.

  1. اتنے اچھے بن جاؤ کہ لوگ چاہ کر بھی آپ کو نظرانداز نہ کر سکیں.

Itnay achay ban jao ke log chaah kar bhi aap ko nazarandaz nah kar saken.

  1. جہاں شاگرد استاد کو پسند نہیں کرتا وہاں تعلیم نہیں حاصل کی جا سکتی.

Jahan shagird ustad ko pasand nahi karta wahan taleem nahi hasil ki ja sakti.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. غریب لوگ غربت کی وجہ سے بیوقوف ہوتے ہیں جبکہ امیر لوگ لالچ کی وجہ سے.

Ghareeb log ghurbat ki wajah se bewaqoof hote hain jabke ameer log lalach ki wajah se.

  1. کتابیں پڑھتے رہیں، لیکن یاد رکھیں کہ کتاب صرف ایک کتاب ہے اس کے علاوہ آپ کو خود سے سوچنا سیکھنا چاہیے.

Kitabein parhte rahiye, lekin yaad rakhiye ke kitaab sirf ek kitaab hai is ke ilawa aap ko khud sochna seekhna chahiye.

  1. ایک ہی وقت میں دو کام کرنے کا مطلب ہے کہ آپ کوئی بھی کام نہیں کریں گے.

Aik hi waqt mein do kaam karne ka matlab hai ke aap koi bhi kaam nahi karen ge.

  1. جہاں پر بھی تباہی ہو گی وہیں پر خزانہ ملنے کی امید پیدا ہو گی.

Jahan par bhi tabahi hogi wahan par khazana milne ki umeed paida hogi.

  1. اگر آپ ناکام نہیں ہوتے ہیں تو اس کا مطلب ہے کہ آپ کچھ بھی اہم نہیں کرتے ہیں.

Agar aap nakam nahi hote hain to is ka matlab hai ke aap kuch bhi ahem nahi karte hain.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. اکثر لوگ اپنی مشکل سے کمائی ہوئی رقم ان چیزوں پر خرچ کرتے ہیں جن کی انہیں ضرورت نہیں ہوتی اور ان لوگوں کو متاثر کرنے کے لیے خرچ کرتے ہیں جنہیں وہ پسند نہیں کرتے.

Aksar log apni mushkil se kamai hui raqam un cheezon par kharch karte hain jin ki unhein zarurat nahi hoti, aur un logon ko mutasir karne ke liye kharch karte hain jinhain woh pasand nahi karte.

  1. بینک ایک ایسی جگہ ہے جہاں پر وہ مناسب موسم میں آپ کو چھتری دیتے ہیں اور بارش شروع ہونے پر اسے واپس مانگنا شروع کر دیتے ہیں.

Bank ek aisi jagah hai jahan par woh munasib mausam mein aap ko chhatri dete hain aur barish shuru hone par usy wapis mangna shuru karte hain.

motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. اگر دنیا میں عورت نہ ہوتی تو دنیا میں موجود پیسے کا کوئی مقصد نہ ہوتا.

Agar duniya mein aurat nahi hoti to duniya mein maojood paisay ka koi maqsad nah hota.

  1. پیسے سے محبت نہیں خریدی جا سکتی ہے، لیکن یہ آپ کی سودے بازی کی پوزیشن کو بہتر بنا سکتا ہے.

Paisay se mohabbat nahi ki ja sakti hai, lekin yeh aap ki saudaybazi ki position ko behtar bana sakta hai.

  1. بے وقوف انسان اور اس کا پیسہ بہت جلد ایک دوسرے سے جدا ہو جاتے ہیں.

Bewaqoof insaan aur uska paisa bohat jald ek dosre se juda ho jate hain.

  1. دوستی پیسے کی طرح ہوتی ہے جسے آسانی سے بنایا جا سکتا ہے مگر بچانا مشکل ہوتا ہے.

Dosti paisay ki tarah hoti hai jise aasani se banaya ja sakta hai magar bachana mushkil hota hai.

  1. کچھ لوگ جعلی پیسہ بناتے ہیں مگر کچھ لوگ ایسے بھی ہوتے ہیں جنہیں زیادہ پیسہ جعلی بنا دیتا ہے.

Kuch log jaali paisa banate hain magar kuch log aise bhi hote hain jinhein zyada paisa jaali bana deta hai.

Best Motivational Quotes In Urdu

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. اکثر لوگ اپنے پیسوں کی اس وقت تک کوئی پرواہ نہیں کرتے جب تک کہ وہ ختم ہونے کے قریب نہ پہنچ جائیں اور اکثر ایسے بھی ہیں جو اپنے وقت کے ساتھ بھی ایسا ہی کرتے ہیں.

Aksar log apne paiso ki us waqt tak koi parwah nahi karte jab tak ke woh khatam hone ke qareeb na pahunch jain aur aksar aise bhi hain jo apne waqt ke sath bhi aisa hi karte hain.

  1. وہی کچھ کرو جسے کرنے میں آپ کو خوشی ملتی ہے پیسہ خود ہی آپ کے پیچھے بھاگے گا.

Wahi kuch karo jisse karne mein aapko khushi milti hai, paisa khud hi aapke peeche bhage ga.

  1. عقلمند انسان کے دماغ میں پیسہ ہونا چاہیے مگر دل میں نہیں.

Aqalmand insaan ke dimagh mein paisa hona chahiye magar dil mein nahi.

  1. نیک نامی پیسے سے زیادہ قیمتی ہے.

Naik nami paisay se zyada qeemti hai.

  1. دولت بہت زیادہ مال رکھنے میں نہیں ہے، بلکہ کم خواہشات رکھنے میں ہے.

Daulat bahot zyada maal rakhne mein nahi hai, balkeh kam khwahishat rakhne mein hai.

  1. فضول خرچی غربت کو جنم دیتی ہے.

Fuzool kharchi ghurbat ko janam deti hai.

  1. پیسہ کمانے میں انسان خرچ ہو جاتے ہیں.

Paisa kamane mein insaan kharch ho jate hain.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. ہر نیا دن ایک بینک اکاؤنٹ ہے، اور ہر لمحہ ہماری کرنسی ہے کوئی بھی امیر یا غریب نہیں، سب کے پاس 24 گھنٹے ہوتے ہیں.

Har naya din ek bank account hai, aur har lamha hamari currency hai, koi bhi ameer ya ghareeb nahi, sab ke paas 24 ghante hote hain.

  1. کفایت شعاری سے ہی باقی تمام خوبیاں پیدا ہوتی ہیں.

Kifayat shuari se hi baqi tamam khubiyon paida hoti hain.

  1. علم میں سرمایہ کاری کرنا بہت منافع بخش ہوتا ہے.

Ilm mein sarmaya kari karna bahot munafa bakhsh hota hai.

  1. پیسے نے انسان کو کبھی خوشی نہیں دی کیونکہ انسان کے پاس جتنا زیادہ پیسہ ہوتا ہے، اتنا ہی اس میں مزید کی خواہش بڑھتی رہتی ہے دراصل یہ خواہشات کو پورا کرنے کی بجائے انہیں بڑھا دیتا ہے.

Paisay ne insaan ko kabhi khushi nahi di kyun ke insaan ke paas jitna zyada paisa hota hai, utna hi us mein mazid ki khwahish barhti rehti hai. Darasal yeh khwahishat ko pura karne ki bajaye unhein barha deta hai.

  1. رسمی تعلیم آپ کو زندگی گزارنے کا ہنر سکھائے گی جبکہ اپنی ذات کی تعلیم آپ کو پیسے کے حوالے سے خوش قسمت بنائے گی.

Rasmi taleem aap ko zindagi guzarne ka hunar sikhaye gi jabke apni zat ki taleem aap ko paisay ke hawale se khush qismat banaye gi.

  1. غریب وہ نہیں جس کے پاس بہت کم پیسہ ہے بلکہ غریب وہ ہے جو زیادہ کی لالچ کرتا ہے.

Ghareeb woh nahi hai jiske paas bohat kam paisa hai, balki ghareeb woh hai jo zyada ki lalach karta hai.

  1. یہ مالک نہیں ہے جو ملازمین کی اجرت ادا کرتا ہے بلکہ یہ گاہک ہے جو اجرت ادا کرتا ہے.

Yeh malik nahi hai jo mulaazmin ki ujrat ada karta hai, balkeh yeh gahak hai jo ujrat ada karta hai.

  1. جو پیسہ کھو دیتا ہے وہ بہت کچھ کھو دیتا ہے، جو ایک دوست کو کھو دیتا ہے وہ بہت کچھ کھو دیتا ہے. مگر جو ایمان کھو دیتا ہے وہ سب کچھ کھو دیتا ہے.

Jo paisa kho deta hai woh bohat kuch kho deta hai, jo ek dost ko kho deta hai woh bahot kuch kho deta hai. Magar jo imaan kho deta hai woh sab kuch kho deta hai.

  1. خوشی صرف پیسے کمانے میں نہیں ہے بلکہ تخلیقی خیالات کو استعمال میں لا کر مسلسل کامیابی حاصل کرنے میں ہے.

Khushi sirf paisay kamane mein nahi hai, balkeh takhleeqi khayalat ko istemaal mein la kar musalsal kamiyabi hasil karne mein hai.

  1. انسان خالی جیبوں سے ناکام نہیں ہوتے بلکہ خالی دماغ اور خالی دل سے ناکام ہوتے ہیں.

Insaan khali jaibon se nakaam nahi hote balkeh khali dimaagh aur khali dil se nakaam hote hain.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. پیسہ اور وہ چیزیں جو پیسے سے خریدی جا سکتی ہیں اچھی ہیں لیکن یہ بھی اچھا ہے کہ ایک بار رک کر دیکھا جائے کہ کہیں ہم نے وہ چیزیں تو نہیں کھو دیں جو پیسے سے نہیں خریدی جا سکتیں.

Paisa aur woh cheezein jo paisay se khareedi ja sakti hain achhi hain, lekin yeh bhi acha hai ke ek baar ruk kar dekha jaye ke kahin humne woh cheezein toh nahi kho din jo paisay se nahi khareedi ja sakti hain.

  1. آپ صرف اپنی پسند کی چیز سے ہی حقیقی معنوں میں مکمل ہو سکتے ہیں پیسے کو اپنا مقصد نہ بنائیں اس کے بجائے ان چیزوں کا پیچھا کریں جو آپ دل سے کرنا پسند کرتے ہیں اور پھر انہیں اتنا اچھا کریں کہ لوگ آپ سے نظریں نہ ہٹا سکیں.

Aap sirf apni pasand ki cheez se hi haqeeqi ma’ani mein mukammal ho sakte hain. Paisay ko apna maqsad na banain is ke bajaye un cheezon ka peecha karein jo aap dil se karna pasand karte hain aur phir unhe itna acha karein ke log aap se nazarain nah hata sakte.

  1. امیر ہونا چاہتے ہیں تو جب باقی سب بیچ رہے ہوں اس وقت آپ خریدیں اور اس وقت تک اپنے پاس رکھیں ​​جب تک کہ باقی سب خریدنا نہ شروع کر دیں یہ صرف ایک دلکش بات نہیں ہے بلکہ ایک کامیاب سرمایہ کاری کا جوہر ہے.

Ameer hona chahte hain to jab baqi sab bech rahe hon uss waqt aap khareedin aur uss waqt tak apne paas rakhein jab tak ke baqi sab khareedna na shuru karein. Yeh sirf aik dilkash baat nahi hai balkeh aik kamiyab sarmaya kari ka johar hai.

  1. اگر آپ سمجھتے ہیں کہ پیسہ آپ کو ہر پریشانی سے نجات دلائے گا تو جان لیں کہ ایسا کبھی نہیں ہو گا اس دنیا میں انسان کے پاس واحد حقیقی تحفظ علم، تجربے اور قابلیت میں ہے.

Agar aap samajhte hain ke paisa aapko har pareshani se nijat dilayega toh jaan lein ke aisa kabhi nahi hoga is duniya mein insaan ke paas wohi haqeeqi tahaffuz ilm, tajurba aur qabliyat mein hai.

  1. آپ کی دولت کا اصل پیمانہ یہ ہے کہ اگر آپ اپنی ساری رقم کھو دیتے ہیں تب آپ کتنے قیمتی ہیں.

Aap ki daulat ka asal paimana yeh hai ke agar aap apni sari raqam kho dete hain toh aap kitne qeemti hain.

  1. پیسہ ایک خوفناک حاکم ہے لیکن ایک بہترین خادم ہے.

Paisa ek khaofnaak hakim hai lekin aik behtareen khadim bhi hai.

  1. جب آپ کی تنخواہ تھوڑی ہو تو کچھ بچانے کی کوشش کریں کیونکہ زیادہ کمانے کے بعد بچت کرنا ناممکن ہے.

Jab aapki tanakhwah thodi ho toh kuch bachane ki koshish karein kyunke zyada kamane ke baad bachat karna namumkin hai.

  1. دولت کے زریعے آپ زندگی کا مکمل تجربہ کر سکتے ہیں.

Daolat ke zariye aap zindagi ka mukammal tajurba kar sakte hain.

  1. آپ کو اپنے پیسوں پر کنٹرول حاصل کرنا چاہیے ورنہ اس کی کمی ہمیشہ کے لیے آپ پر قابو پالے گی.

Aap ko apne paiso par control hasil karna chahiye warna iss ki kami hamesha ke liye aap par qabu palayegi.

  1. ہر بار جب آپ پیسہ ادھار لیتے ہیں، آپ اپنے مستقبل کو نقصان پہنچا رہے ہوتے ہیں.

Har bar jab aap paisa udhaar lete hain, aap apne mustaqbil ko nuksan pahuncha rahe hote hain.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. اگر آپ اپنے وقت کی قدر نہیں کرتے تو دوسرے بھی نہیں کریں گے اپنا وقت اور ہنر مفت میں دینا بند کر دیں آپ جو جانتے ہیں اس کی قدر کریں اور اس کے لیے چارج کرنا شروع کریں.

Agar aap apne waqt ki qadr nahi karte toh doosre bhi nahi karenge apna waqt aur hunar muft mein dena band kar dein. Aap jo jaante hain uski qadr karein aur uske liye charge karna shuru karein.

  1. بچت کی عادت بذات خود ایک تعلیم ہے یہ ہر خوبی کو پختہ کرتی ہے، خود پر ضبط رکھنا، نظم لانا سکھاتی ہے اور مستقبل کو دیکھنے کی تربیت دیتی ہے اور ذہن کو وسیع کرتی ہے.

Bachat ki adat bazaat e khud aik taleem hai, yeh har khoobi ko pukhta karti hai, khud par zabt rakhna, nazam lana sikhati hai aur mustaqbil ko daikhne ki tarbiyat deti hai aur zehan ko wasee krti hai.

  1. بولنے سے پہلے سن لو، لکھنے سے پہلے سوچ لو۔ خرچ کرنے سے پہلے کماؤ، سرمایہ کاری کرنے سے پہلے تحقیق کرو. تنقید کرنے سے پہلے انتظار کرو. دعا کرنے سے پہلے معاف کر دو. ہمت ہارنے سے پہلے کوشش کرو. ریٹائر ہونے سے پہلے، بچت کرو. مرنے سے پہلے عطیہ کرو.

Bolne se pehle suno, likhne se pehle socho, Kharch karne se pehle kamao, sarmaya kari karne se pehle tahqiq karo, Tanqeed karne se pehle intezar karo, Dua karne se pehle maaf kardo, Himmat haarne se pehle koshish karo, Retire hone se pehle bachat karo, Marnay se pehle attia karo.

  1. ہم جو کچھ حاصل کرتے ہیں اس سے زندگی کا گزر بسر کرتے ہیں، لیکن ہم جو دوسروں کو دیتے ہیں اس سے اپنی زندگی بناتے ہیں.

Hum jo kuch hasil karte hain us se zindagi ka guzar basar karte hain, lekin hum jo doosron ko dete hain us se apni zindagi banate hain.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. جس کے پاس کم دولت ہے اور وہ کم خواہشات رکھتا ہے اس سے زیادہ امیر ہے جس کے پاس زیادہ دولت ہے مگر وہ زیادہ خواہشات رکھتا ہے.

Jiskay paas kam dolat hai aur woh kam khwahishat rakhta hai, us se zyada ameer hai jiskay paas zyada daolat hai magar woh zyada khwahishat rakhta hai.

  1. جو ایک اچھے مستقبل سے لطف اندوز ہونا چاہتا ہے وہ اپنے حال کو ضائع نہیں کرتا.

Jo ek acha mustaqbil se lutf uthana chahta hai, woh apne haal ko zaaya nahi karta.

  1. لوگ اکثر کہتے ہیں کہ موٹیویشن زیادہ دیر نہیں چلتی مان لیتے ہیں مگر غسل بھی زیادہ دیر نہیں رہتا اسی لیے ہم اسے روزانہ کرتے ہیں.

Log aksar kehte hain ke motivation zyada dair nahi chalti, maan lete hain magar ghusl bhi zyada dair nahi rehta, is liye hum use rozana karte hain.

  1. اگر پلان A ناکام ہو جاتا ہے تو یاد رکھیں کہ 25 مزید حروف تہجی باقی ہیں.

Agar Plan A nakam ho jata hai toh yaad rakhain ke 25 aur alfaz tahajji baqi hain.

  1. اربوں ڈالر کا سفر ایک پیسے سے ہی شروع ہوتا ہے.

Arabon dollar ka safar aik paisay se hi shuru hota hai.

  1. ہمیں بہت سارے پیسوں کے ساتھ ایک غریب آدمی کی طرح رہنا چاہیے.

Hamein bahot sare paison ke sath aik ghareeb aadmi ki tarah rehna chahiye.

  1. قسمت اور دولت اس کا ساتھ دیتی ہے جو ہمت کرتا ہے.

Qismat aur daolat uss ka sath deti hai jo himmat karta hai.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. دولت سمندر کے پانی کی طرح ہے. ہم جتنا زیادہ پیتے ہیں، اتنے ہی زیادہ پیاسے ہوتے جاتے ہیں اور شہرت کا بھی یہی حال ہے.

Daolat samundar ky paani ki tarah hai. Hum jitna zyada peete hain, utne hi zyada pyaase hote jaate hain aur shohrat ka bhi yahi haal hai.

  1. اگر ہم اپنی دولت کے حاکم ہیں تو ہم امیر اور آزاد ہیں اور اگر ہم اپنی دولت کے تابع ہیں تو ہم غریب اور محکوم ہیں.

Agar hum apni daolat ke hakim hain toh hum ameer aur azad hain aur agar hum apni daolat ke tabidar hain toh hum ghareeb aur mahkoom hain.

  1. سب سے اچھی چیز جو پیسہ دے سکتا ہے وہ ہے مالی آزادی.

Sab se achi cheez jo paisa de sakti hai woh hai maali azadi.

  1. پیسہ آسمانوں پر سے نہیں اترتا اسے زمین پر ہی محنت سے کمانا پڑتا ہے.

Paisa aasmanon par se nahi utarta, isay zameen par hi mehnat se kamana padta hai.

  1. پیسے کی کمی تمام برائیوں کی جڑ ہے.

Paisay ki kami tamam buraiyon ki jarr hai.

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu
  1. ہر کامیاب انسان کے پیچھے کئی مشکل تجربات ہوتے ہیں مگر لوگ صرف اس کی کامیابی کو دیکھتے ہیں.

Har kamiyaab insan ky peechy kai mushkil tajurbaat hoty hain magar log sirf uski kamiyabi ko daikhty hain.

  1. کامیاب ہونا چاہتے ہیں تو سورج سے پہلے جاگیں.

Kamiyaab hona chahty hain to suraj say pahly jagain.

Motivational Quotes In Urdu About Success
  1. جتنا بڑا سوچیں گے اتنا ہی بڑا مقام پائیں گے.

Jitna bara sochain gay utna hi bara maqaam paain gy.

Conclusion

Let these profound words be your guiding light, inspiring you to overcome challenges and reach new heights. Success is not just a destination; it’s a continuous journey fueled by determination and positivity. Embrace these motivational gems to navigate your path to success in the Urdu language. Your journey to triumph begins with the power of these uplifting quotes.

You Might Also Read

Motivational Quotes In Urdu | Nietzsche Quotes In Urdu

40 Best Urdu Quotes By Greek Philosopher

Watch Best Motivational Quotes In Urdu

Motivational Quotes In Urdu
Motivational Quotes In Urdu Fir Success
Best Motivational Quotes In Urdu For Success

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.