...

40 Timeless Chinese Proverbs, Quotes, and Sayings: Insights For Life

20- کھرا سونا آگ کے امتحان سے نہیں ڈرتا.

Khara sona aag ke imtihaan se nahi darta.

21- جنگ آگ کی طرح ہے. اگر آپ اپنے ہتھیار نہیں چھوڑیں گے تو یہ بالآخر آپ کو نگل جائیں گے. 

Jang aag ki tarah hai. Agar aap apne hathiyar nahi chorain ge to yeh bilaakhir aap ko nigal jayenge.

Chinese Proverbs About Success

Chinese Quotes in Urdu

22- سو جنگیں جیتنا کوئی فتح نہیں ہے. حقیقی فتح بغیر لڑے دشمن پر غلبہ پانے میں ہے. 

Sau jangen jeetna koi fatah nahi hai. Haqeeqi fatah baghair lade dushman par ghalba paane mein hai.

23- وہ فتح مند ہوتا ہے جو جانتا ہے کہ کب لڑنا ہے اور کب نہیں.
 
Woh fatah mand hota hai jo janta hai ke kab ladna hai aur kab nahi.

24- صبر ایک ایسا درخت ہے جس کی جڑیں کڑوی ہوتی ہیں لیکن پھل میٹھا ہوتا ہے. 

Sabar aik aisa darakht hai jiskay jadhain karwi hoti hain lekin phal meetha hota hai.

25- جنگ جیتنے کے لئے دشمن پر حیرت کا عنصر برقرار رکھو. 

Jang jeetnay ke liye dushman par hairat ka ansar barqarar rakho.

26- مسکراہٹ میں چھپے خنجر سے ہوشیار رہو. 

Muskurahat mein chhupay khanjar se hoshiyaar raho.

Chinese Quotes In Urdu

Chinese Quotes in Urdu

27- جو شہرت کی تلاش میں ہیں وہ صرف غیر معمولی طریقوں سے ہی اسے حاصل کر سکتے ہیں. اگر آپ صرف عام کام کریں گے تو آپ اپنے خاندان میں بھی مشہور نہیں ہو سکتے. 

Jo shohrat ki talash mein hain woh sirf ghair mamooli tareeqon se hi ise hasil kar sakte hain. Agar aap sirf aam kaam karein ge to aap apne khandan mein bhi mashhoor nahi ho sakte.

28- اپنے الفاظ اور اعمال کا خیال رکھو کیونکہ آپ کے الفاظ بولے جائیں گے اور آپ کے اعمال کی نقل کی جائے گی.

Apne alfaaz aur aamaal ka khayal rakho kyunki aap ke alfaaz bole jaenge aur aap ke aamaal ki naqal ki jaegi.

29- دوست زندگی کے ہر مرحلے میں ساتھ چلتے ہیں.
 
Dost zindagi ke har marhalay mein saath chalte hain.

Chinese Quotes In Urdu

30- ایک عظیم انسان خود پر سختی کرتا ہے جبکہ ایک چھوٹا انسان دوسروں پر سختی کرتا ہے. 

Aik azeem insan khud par sakhti karta hai jabke aik chhota insan doosron par sakhti karta hai.

31- عقلمند شخص کبھی بھی ظاہری شکلوں پر اعتماد نہیں کرتا. 

Aqalmund shakhs kabhi bhi zahiri shaklon par aitmaad nahi karta.

32- بہتے دریا سے پانی پینے والے پیاسے شخص کی طرح بنو. وہ خوشی سے پانی تو پیتا ہے لیکن بہتے دریا کے زیادہ پانی کی لالچ نہیں کرتا اسی طرح شریف اور عقلمند آدمی عہدے اور مقام کو ایک پھوڑا  اور مادی دولت کو مٹی اور دھول سمجھتا ہے. 

Behtay darya se pani peene walay pyasay shakhs ki tarah bano. Woh khushi se pani to peeta hai lekin behtay darya ke zyada pani ki lalach nahi karta. Isi tarah shareef aur aqalmund aadmi ohday aur maqam ko aik phora aur maadi daulat ko mitti aur dhool samajhta hai.

Chinese Quotes in Urdu

33- ایک دن میں ایک سکہ ہزار دن میں ہزار سکے بناتا ہے. وقت کے ساتھ رسی درخت کو کاٹ سکتی ہے اور ٹپکتا ہوا پانی پتھر کو گھسا سکتا ہے. 

Aik din mein aik sikka hazaar din mein hazaar sikay banata hai. Waqt ke sath rassi darakht ko kaat sakti hai aur tapakta hua pani pathar ko ghissa sakta hai.

34- موقع کو جانے نہ دو کیونکہ یہ دوبارہ نہیں آئے گا. 

Mauqa ko jane na do kyunki yeh dobarah nahi aayega.

35- حال میں مضبوطی سے کھڑے رہو اور مستقبل پر توجہ مرکوز کرو. 

Haal mein mazbooti se kharay raho aur mustaqbil par tawajju markooz karo.

36- نیک آدمی دوسروں کے کام کی بجائے اپنے کام پر دھیان دیتا ہے.

Naik aadmi dosron ke kaam ki bajaye apne kaam par dihaan deta hai.

37- اپنے منصوبے خفیہ رکھو اور جب انہیں مکمل کر چکو تب دنیا کے سامنے پیش کرو. 

Apne mansoobay khufiya rakho aur jab unhein mukammal kar chuko tab duniya ke samnay paish karo.

Chinese Quotes in Urdu

38- عقلمند انسان کی صحبت میں ایک بار بیٹھنا مہینہ بھر کتابیں پڑھنے سے بہتر ہے.
 
Aqalmund insaan ki sohbat mein aik baar baithna maheena bhar kitaabein parhnay se behtar hai.

39- درخت لگانے کا بہترین وقت 20 سال پہلے تھا دوسرا بہترین وقت آج ہے.

Darakht lagane ka behtareen waqt 20 saal pehle tha doosra behtareen waqt aaj hai.

Chinese Quotes in Urdu

40- اپنے بچوں کو سونے کے 1000 سکے دینے سے بہتر ہے کہ انہیں کوئی ہنر سکھائیں. بچوں کی مدد پیسے کی بجائے تعلیم دے کر کریں. 

Apne bachon ko sonay ke 1000 sikay denay se behtar hai ke unhein koi hunar sikhaein. Bachon ki madad paisay ki bajaye taleem de kar karein.

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.