Aaghaz, kaam ka sab se ahem hissa hai.
جس گھر میں لائبریری ہو اس میں روح ہوتی ہے
Jis ghar mein library ho us mein rooh hoti hai.
تعلیم کا مقصد ہمیں خوبصورتی سے پیار کرنا سکھانا ہے
Taleem ka maqsad hamein khoubsurti se pyar karna sikhana hai.
ضرورت ایجاد کی ماں ہے
Zaroorat ijaad ki maan hai.
سب سے بڑی دولت تھوڑے پر مطمئن رہنا ہے
Sab se barri daulat thoray par mutmaen rehna hai.
انسانوں کے ساتھ پیش آنے والی چیزوں میں موت سب سے بری چیز نہیں ہے
Insanon ke sath paish anay wali cheezon mein maut sab se buri cheez nahi hai.
مجبوراً کی گئی جسمانی ورزش جسم کو کوئی نقصان نہیں پہنچاتی لیکن مجبوری سے حاصل کیا گیا علم ذہن میں ٹھہرتا نہیں.
Majaburan ki gayi jismani werzish jism ko koi nuqsaan nahi pohanchati lekin majboori se haasil kya gaya ilm zehen mein thahrta nahi.
محبت محض خود کو مکمل کرنے کی خواہش اور جستجو کا نام ہے
Mohabbat mehez khud ko mukammal karne ki khwahish aur justojoo ka naam hai.
ایک خالی برتن زیادہ شور کرتا ہے، اسی طرح جو کم عقل ہوتے ہیں وہ زیادہ فضول گو ہوتے ہیں
Aik khaali bartan ziyada shore karta hai, isi terha jo kam-aqal hotay hain woh ziyada fuzool go hotay hain.
کوئی بھی انسان ایسے بچوں کو دنیا میں نہ لائے جن کی پرورش اور تعلیم کے لئے وہ آخر تک ثابت قدم رہنے کو تیار نہ ہو.
Koi bhi insaan aisay bachon ko duniya mein nah laaye jin ki parwarish aur taleem ke liye woh aakhir tak saabit qadam rehne ko tayyar nah ho.
Amazing Aflatoon Quotes In Urdu Text
خوبصورتی دیکھنے والے کی آنکھوں میں ہوتی ہے
Khoubsurti dekhnay walay ki aankhon mein hoti hai.
کردار محض طویل عرصے تک جاری رہنے والی عادت کا نام ہے
Kirdaar mehez taweel arsay tak jari rehne wali aadat ka naam hai.
فضیلت ایک تحفہ نہیں ہے بلکہ ایک مہارت ہے جسے مشق درکار ہوتی ہے. ہم درست عمل اس لیے نہیں کرتے کیونکہ ہم افضل ہیں، درحقیقت ہم درست عمل کر کے فضیلت حاصل کرتے ہیں.
Fazeelat aik tohfa nahi hai balkay aik mahaarat hai jisay mashq darkaar hoti hai, hum durust amal is liye nahi karte kyunkay hum afzal hain, dar haqeeqat hum durust amal kar ke fazeelat haasil karte hain.
لوگ مٹی کی طرح ہوتے ہیں. وہ یا تو آپ کی نشوونما کر سکتے ہیں اور آپ کو ایک شخص کے طور پر بڑھنے میں مدد دے سکتے ہیں یا وہ آپ کی نشوونما کو روک سکتے ہیں اور آپ کو مرجھا اور مار سکتے ہیں.
Log matti ki terha hotay hain, woh ya to aap ki nashonuma kar satke hain aur aap ko aik shakhs ke taur par bherne mein madad day satke hain ya woh aap ki nashonuma ko rok satke hain aur aap ko murjhaa aur maar sakte hain.
محبت ہر انسان میں پیدا ہوتی ہے یہ ہماری حقیقی فطرت کے دو حصوں کو واپس ایک ساتھ جوڑ دیتی ہے. یہ دو میں سے ایک بنانے اور انسانی فطرت کے زخم کو مندمل کرنے کی کوشش کرتی ہے.
Mohabbat har insaan mein paida hoti hai yeh hamari haqeeqi fitrat ke do hisson ko wapas aik sath jor deti hai, yeh do mein se aik bananay aur insani fitrat ke zakham ko mundamil karne ki koshish karti hai.
ایک طرح کی خوفناک، جنگلی اور لاقانونیت کی خواہش ہم میں سے ہر ایک میں ہوتی ہے، یہاں تک کہ ان میں بھی ہوتی ہے جو سب سے زیادہ اعتدال پسند نظر آتے ہیں
Aik terha ki khaufnaak, jungli aur laqanoniat ki khwahish hum mein se har aik mein hoti hai, yahan tak ke un mein bhi hoti hai jo sab se ziyada aitdaal pasand nazar atay hain.
اچھے اعمال خود کو طاقت دیتے ہیں اور دوسروں کو اچھے اعمال کی ترغیب دیتے ہیں
Achay aamaal khud ko taaqat dete hain aur doosron ko achay aamaal ki targheeb dete hain.
جدوجہد کے بغیر کچھ بھی خوبصورت نہیں
jad-o-jehad ke baghair kuch bhi khobsurat nahi.
ایک بہادر انسان سینکڑوں میں سے ایک ہوتا ہے، ایک عقلمند انسان ہزاروں میں سے ایک، لیکن ایک کامل انسان لاکھوں انسانوں میں بھی نہیں ملتا
Aik bahadur insaan sainkron mein se aik hota hai, aik aqalmand insaan hazaron mein se aik, lekin aik kaamil insaan lakhoon insanon mein bhi nahi milta.
عقلمند لوگ اس لیے بات کرتے ہیں کیونکہ ان کے پاس کچھ کہنے کو ہوتا ہے جبکہ بیوقوف اس لیے بولتے کیونکہ انہیں کچھ نہ کچھ کہنا ہوتا ہے
Aqalmand log is liye baat karte hain kyunkay un ke paas kuch kehnay ko hota hai jabkay bewaqoof is liye boltay kyunkay inhen kuch nah kuch kehna hota hai.
Quotes About Life In Urdu
سرگرمی کی کمی ہر انسان کی اچھی حالت کو تباہ کر دیتی ہے
Sargarmi ki kami har insaan ki achi haalat ko tabah kar deti hai.
علم روح کی غذا ہے
Ilm rooh ki ghiza hai.
Also Read
40 Best Urdu Quotes By Greek Philosopher
20 Best Urdu Quotes By Saadat Hassan Manto