Table of Contents
Introduction
Discover the timeless wisdom of Voltaire, one of the most influential philosophers of the Enlightenment era, through his profound quotes translated into Urdu. In this blog post, we bring you the top 50 Voltaire quotes in Urdu, each accompanied by its Romanized version for easy understanding. Voltaire’s insights on freedom, reason, and humanity resonate across generations, offering valuable lessons and thought-provoking ideas. Whether you are a fan of philosophical Quotes and literature or seeking inspiration, these quotes will surely enlighten and captivate you.
Voltaire Quotes In Urdu
1- جب روپے پیسے کی بات آتی ہے تب تمام انسان ایک ہی مذہب سے تعلق رکھتے ہوتے ہیں.
Jab rupaye paise ki baat aati hai tab tamaam insaan aik hi mazhab se talluq rakhte hotay hain.
2- فساد انسان کے لیے ایک بڑی بیماری ہے اور اس کا واحد علاج برداشت ہے.
Fasaad insaan ke liye aik bari bimari hai aur is ka wahid ilaaj bardasht hai.
3- کئی سچائیاں ایسی ہیں جو نہ تو تمام انسانوں کے لیے ہوتی ہیں اور نہ ہی تمام زمانوں کے لیے ہوتی ہیں.
Kai sachaiyan aisi hain jo na to tamaam insaanon ke liye hoti hain aur na hi tamaam zamanon ke liye hoti hain.
4- الفاظ کا سب سے بڑا استعمال اپنے خیالات کو چھپانے کے لئے کیا جاتا ہے.
Alfaz ka sab se bara istemal apne khayalat ko chhupanay ke liye kiya jata hai.
5- مرد کو خوبصورت عورت کی محبت اور ساتھ پریشانی سے بچا لیتے ہیں.
Mard ko khubsurat aurat ki mohabbat aur saath pareshani se bacha lete hain.
6- زندگی میں بہت زیادہ کانٹے بوئے گئے ہیں اس کا حل یہ ہے کہ ہم جلدی سے ان کے اندر سے گزر جائیں. ہم اپنی بد قسمتی کو جتنا زیادہ سوچتے رہتے ہیں اتنا ہی اس کے نقصان پہچانے کی طاقت بڑھ جاتی ہے.
Zindagi mein bohat zyada kaante boay gaye hain is ka hal yeh hai ke hum jaldi se in ke andar se guzar jayein. Hum apni badqismati ko jitna zyada sochte rehte hain utna hi is ke nuqsan pohchanay ki taqat barh jati hai.
7- کسی انسان کی ذہانت کا اندازہ اس کے جوابوں کی بجائے اس کے سوالوں سے کریں.
Kisi insaan ki zahanat ka andaza us ke jawabon ke bajaye us ke sawalon se karein.
Voltaire Life Quotes In Urdu
8- تمام انسان خوشی کی تلاش میں رہتے ہیں لیکن وہ جانتے نہیں کہ اسے کہاں تلاش کریں. ایسے ہی جیسے کسی شرابی کو تھوڑا بہت علم ہو کہ اس کا کوئی گھر ہے مگر وہ اسے تلاش کر رہا ہو.
Tamaam insaan khushi ki talash mein rehte hain lekin wo jante nahi ke ise kahan talash karein. Aise hi jaise kisi sharabi ko thoda bohat ilm ho ke us ka koi ghar hai magar wo ise talash kar raha ho.
9- آپ کا سب سے اہم فیصلہ اپنے مزاج کو اچھا رکھنا ہے.
Aap ka sab se ahem faisla apne mizaaj ko acha rakhna hai.
10- ایسے معاملات میں درست ہونا خطرناک ہے جن میں وقت کا حاکم غلط ہوتا ہے.
Aise maamlaat mein durust hona khatarnaak hai jin mein waqt ka hakim ghalat hota hai.
11- اکتاہٹ کا راز یہ ہے کہ آپ سب کچھ کہہ دیتے ہیں.
Uktahat ka raaz yeh hai ke aap sab kuch keh dete hain.
12- شادی وہ واحد جان جوکھوں کا کام ہے جو بزدل بھی کر سکتے ہیں.
Shaadi woh wahid jaan jokhon ka kaam hai jo buzdil bhi kar sakte hain.
13- اپنے بارے میں سوچیں اور دوسروں کو بھی اپنے بارے میں سوچنے کا حق دیں.
Apne bare mein sochein aur dosron ko bhi apne bare mein sochne ka haq dein.
14- ہم کبھی جیتے نہیں ہم ہمیشہ سوچتے رہتے ہیں کہ ہم بہتر زندگی جئیں گے.
Hum kabhi jeetay nahi hum hamesha sochte rehte hain ke hum behtar zindagi jeenge.
15- صرف فتح کرنا کافی نہیں ہے انسان کو لبھانے کا ہنر بھی آنا چاہیے.
Sirf fatah karna kafi nahi hai insaan ko lubhanay ka hunar bhi aana chahiye.
16- جو انسان اس وجہ سے دوسرے انسان کو اذیت دیتا ہے کہ وہ مختلف رائے رکھتا ہے وہ مکروہ انسان ہے.
Jo insaan is wajah se doosray insaan ko aziyat deta hai ke woh mukhtalif raye rakhta hai woh makrooh insaan hai.
17- وہ انسان جاہل ہے جو ہر پوچھے گئے سوال کا جواب دیتا ہے.
Woh insaan jahil hai jo har poochay gaye sawal ka jawab deta hai.
18- اے خدا مجھے میرے دوستوں سے بچا لے، دشمنوں سے میں اپنا بچاؤ خود کر لوں گا.
Ae Khuda mujhe mere doston se bacha le, dushmanon se mein apna bachao khud kar loonga.
19- سوچ کی آزادی سے روح کی حیات ہے.
Soch ki azadi se rooh ki hayat hai.
20- تمام انسانوں میں سے زیادہ خوش وہ انسان ہے جو تنہا اپنے کام میں مصروف ہے.
Tamaam insaanon mein se zyada khush woh insaan hai jo tanha apne kaam mein masroof hai.
21- ہماری اس چھوٹی سی زمین پر نظریات نے وباؤں اور زلزلوں سے بھی زیادہ بیماریاں پھیلائی ہیں.
Hamari is chhoti si zameen par nazariyat ne wabaoon aur zalzalon se bhi zyada bimariyan phailayi hain.
22- انسان برابر ہیں. ان کی پیدائش کی بجائے ان کی خوبیاں انہیں مختلف بناتی ہیں.
Insaan barabar hain. Un ki paidaish ki bajaye un ki khoobiyan unhein mukhtalif banati hain.
23- دنیا میں کامیاب ہونے کے لیے انسان کا صرف بے وقوف ہونا کافی نہیں اس کا خوش اخلاق ہونا بھی ضروری ہے.
Duniya mein kaamiyab hone ke liye insaan ka sirf bewaqoof hona kafi nahi us ka khush ikhlaq hona bhi zaroori hai.
24- ہر کامیاب مرد کے پیچھے حیرت میں مبتلا اس کی ساس ہوتی ہے.
Har kaamyab mard ke peeche hairat mein mubtala us ki saas hoti hai.