...

Top 50 Profound Voltaire Quotes In Urdu: Timeless Insights

Voltaire Life Quotes In Urdu

25- میں نے زندگی کے 80 سال گزار لیے ہیں مگر اس کے بارے میں کچھ بھی نہیں جانتا بس میں یہی سمجھا ہوں کہ مکھیاں اس لیے پیدا ہوئی ہیں کہ مکڑیاں انہیں کھا سکیں اور انسان اس لیے پیدا ہوئے کہ غم انہیں کھا سکیں.

Mein ne zindagi ke 80 saal guzar liye hain magar is ke bare mein kuch bhi nahi janta bas mein yahi samjha hoon ke makkhiyaan is liye paida hui hain ke makdiyan unhein kha saken aur insaan is liye paida hue ke gham unhein kha saken.

26- قلم اٹھانا جنگ پر جانے کے مترادف ہے.

Qalam uthana jung par jane ke mutradif hai.

Voltaire Life Quotes In Urdu

27- محنت سے کام کرنے سے ہم تین چیزوں سے بچ جاتے ہیں. سستی، مصیبت اور محتاجی.

Mehnat se kaam karne se hum teen cheezon se bach jate hain. Susti, museebat aur mohtaji.

28- ناانصافی سے آزادی جنم لیتی ہے.

Naainsafi se azadi janam leti hai.

29- انسانوں کے دماغ ان کے چہروں سے بھی زیادہ مختلف ہوتے ہیں.

Insanon ke dimagh un ke chehron se bhi zyada mukhtalif hote hain.

Voltaire Quotes On Government And Freedom

Voltaire Quotes On Freedom In Urdu

30- بے وقوفوں کو ایسی زنجیروں سے نجات دلانا بہت مشکل ہوتا ہے جنہیں وہ محترم سمجھتے ہوں.

Be waqoofon ko aisi zanjeeron se najaat dilana bohat mushkil hota hai jinhein wo mohtaram samajhte hon.

31- انسان جتنا زیادہ جانتا جاتا ہے اتنا ہی خاموش ہوتا جاتا ہے.

Insaan jitna zyada janta jata hai utna hi khamosh hota jata hai.

32- حقیقی بدقسمتی عدم مساوات نہیں بلکہ محتاجی ہے.

Haqiqi badqismati adam masawat nahi balkay mohtaji hai.

Voltaire Quotes On Religion

33- اگر آپ کے ملک میں دو مذاہب ہیں تب وہ ایک دوسرے کے گلے کاٹیں گے لیکن اگر تیس مذاہب ہیں تب وہ امن کے ساتھ رہیں گے.

Agar aap ke mulk mein do mazhab hain tab wo aik doosray ke galay kaatein ge lekin agar tees mazahib hain tab wo aman ke sath rahenge.

34- عام طور پر حکومت کا فن یہ ہوتا ہے کہ وہ اپنے شہریوں میں سے کسی ایک شخص سے زیادہ سے زیادہ پیسہ لے کر دوسرے کو دے دیتی ہے.

Aam tor par hukoomat ka fun yeh hota hai ke woh apne shehrion mein se kisi aik shakhs se zyada se zyada paisa le kar doosre ko de deti hai.

35- زندگی کا سب سے بڑا اطمینان یہ ہے کہ انسان جو کچھ سوچتا ہے وہی کہہ سکے.

Zindagi ka sab se bara itminaan yeh hai ke insaan jo kuch sochta hai wohi keh sake.

36- بہت سی کتابیں ایسی ہیں جن سے انسان اکتا جاتا ہے مگر کوئی بھی کتاب ایسی نہیں جو حقیقت میں کسی برائی کی وجہ بنی ہو.

Bohat si kitabein aisi hain jin se insaan ukta jata hai magar koi bhi kitaab aisi nahi jo haqeeqat mein kisi burayi ki wajah bani ho.

Voltaire Quotes On Government

37- “داخلی سلامتی” جیسے الفاظ سے خبردار رہیں کیونکہ یہ الفاظ کسی آمر اور ظالم کا ابدی واویلا ہیں.

“Dakhli Salamati” jaise alfaz se khabardaar rahein kyunke yeh alfaz kisi aamir aur zaalim ka abdi waweela hain.

38- ہماری روح کائنات کا آئینہ ہے اور ہمارا جسم اس کا فریم ہے.

Hamari rooh kainaat ka aaina hai aur hamara jism is ka frame hai.

39- مجھے عورتوں سے نفرت ہے کیونکہ وہ جانتی ہوتی ہیں کہ کون سی چیز کہاں پر پڑی ہوئی ہے.

Mujhe aurton se nafrat hai kyunke wo janti hoti hain ke kaun si cheez kahan par pari hui hai.

40- خوشی کو تلاش کرنا ہر عقل مند انسان کی زندگی کا مقصد ہونا چاہیے.

Khushi ko talash karna har aqalmand insaan ki zindagi ka maqsad hona chahiye.

Voltaire Quotes On Government

41- یہ جاننے کے لیے کہ آپ کا حقیقی حکمران کون ہے یہ دیکھیں کہ آپ کس پر تنقید نہیں کر سکتے.

Yeh jan’ne ke liye ke aap ka haqiqi hukmaran kaun hai yeh dekhein ke aap kis par tanqeed nahi kar sakte.

42- ہماری کتابیں ہمارے دوست ہی چراتے ہیں.

Hamari kitabein hamare dost hi churate hain.

43- آنسو غم کی خاموش زبان ہوتے ہیں.

Aansoo gham ki khamosh zuban hotay hain.

44- بے وقوفی کو زیادہ دہرانے سے وہ عقلمندی لگنا شروع ہو جاتی ہے.

Bewaqoofi ko zyada duhraane se woh aqalmandi lagna shuru ho jati hai.

45- دل کی اپنی وجوہات ہوتی ہیں جسے عقل نہیں سمجھ سکتی.

Dil ki apni wojohaat hoti hain jise aqal nahi samajh sakti.

Philosophical Quotes In Urdu

Voltaire Life Quotes In Urdu

46- چالیس سال کے بعد لوگ اپنے جس عمل کو نیکی سمجھتے ہیں دراصل وہ جسمانی توانائی کی کمی ہے.

40 saal ke baad log apne jis amal ko neki samajhte hain darasal woh jismani taqat ki kami hai.

47- مردوں کی تمام دلیلیں عورتوں کے ایک جذبے کی مار ہیں.

Mardon ki tamaam daleelein aurton ke aik jazbe ki maar hain.

Voltaire Quotes On Government

48- انسان کی یہ حالت ہے کہ اس کے لیے اپنے ملک کی عظمت کی بات کرنے کا مطلب اپنے ہمسائے کا نقصان چاہنا ہے.

Insaan ki yeh haalat hai ke us ke liye apne mulk ki azmat ki baat karne ka matlab apne hamsaye ka nuqsaan chahna hai.

49- کسی منزل، خواب یا خواہش کو پانے کے لیے منصوبہ بندی کرنا ضروری ہے.

Kisi manzil, khwab ya khwahish ko pane ke liye mansooba bandi karna zaroori hai.

50- برائی کرنے کا موقع دن میں سو بار ملتا ہے مگر اچھائی کرنے کا موقع سال میں ایک بار ہی ملتا ہے.

Burayi karne ka mauqa din mein sau baar milta hai magar achhai karne ka mauqa saal mein aik baar hi milta hai.

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.