...

30 Amazing Bano Qudsia Quotes In Urdu

11- Agar barson husn ke saath rahein to woh itna be-taaseer ho jata hai jitni badsurti. Paharon par rehne wale chashmon ki tareef nahin karte, Actress ki biwi ka shohar uske husn ka dil-dada nahin hota. Mard ko aurat ka husn nahin, uska jazbah mutasir karta hai.

bano qudsia quotes about aurat
Bano Qudsia Quotes About Aurat

12- عورت کا مسئلہ مرد کے مسائل طے کیے بغیر حل نہیں ہو سکتا، مرد اپنی الجھنوں کو عورت کی اعانت کے بغیر سلجھا نہیں سکتا کیونکہ روپے کے چاہے دو رخ ہوں، روپیہ ہمیشہ ایک ہوتا ہے. یہ جب بھی Devaluate ہوتا ہے تو اس کے دونوں رخ ایک وقت میں بے حیثیت ہو جاتے ہیں.

12- Aurat ka masla mard ke masail tay kiye baghair hal nahin ho sakta, mard apni uljhanon ko aurat ki eaanat ke baghair suljha nahin sakta kyun ke rupay ke chahe do rukh hon, rupiya hamesha ek hota hai. Ye jab bhi devaluate hota hai to us ke dono rukh ek waqt mein be-hesiyat ho jate hain.

13- واضح فرق جو مرد اور عورت میں ہے اس قدر ہے کہ ایک منفی قطب ہے اور دوسرا مثبت قطب ہے ان دونوں کے اتصال کے بغیر بجلی پیدا نہیں ہو سکتی، روشنی نہیں ہوتی، نسل انسانی آگے نہیں بڑھتی لیکن بدقسمتی سے دونوں ایک دوسرے کی ہمدردی، محبت دشمنی یا مقابلے کے باوجود ایک سے نہیں ہو سکتے.

13- Wazeh farq jo mard aur aurat mein hai, is qadar hai ke ek manfi qutb hai aur doosra musbat qutb hai. In donon ke ittisal ke baghair bijli paida nahin ho sakti, roshni nahin hoti, nasl e insani aage nahin barhti lekin badqismati se donon ek doosre ki hamdardi, mohabbat, dushmani ya muqablay ke bawajood ek se nahin ho sakte.

Bano Qudsia Quotes About Mard

14- مرد موت سے ڈرتا ہے، موسموں کا بدلنا، سفروں پر جانا، دوستوں سے بچھڑنا، ہر قدم پر وہ موت کے بھوت سے بھاگتا ہے. عورت کا سب سے بڑا مسئلہ، عمر کا مسئلہ ہے. عورت کی جوں جوں عمر بڑھتی ہے وہ بد شکلی، بد ہیتی اور بڑھاپے سے خوفزدہ ہوتی ہے.

14- Mard maut se darta hai, mosamon ka badalna, safaron par jana, doston se bicharna, har qadam par woh maut ke bhoot se bhagta hai. Aurat ka sab se bara masla, umar ka masla hai. Aurat ki joon joon umar barhne lagti hai woh bad-shakli, bad-heiti aur burhape se khofzada hoti hai.

15- مرد چونکہ عورت کی طرح زچگی کا بوجھ نہیں اٹھاتا اور بچے کی پرورش میں اس کا رول بار بردار جانور کا سا نہیں ہے اس لیے اس کی کاٹھی پر عمر کی ضربیں کافی دیر تک چھپی رہتی ہیں.

15- Mard chonkeh aurat ki tarah zuchgi ka bojh nahin uthata aur bachay ki parwarish mein is ka role bar bardar janwar ka sa nahin hai, is liye is ki kaathi par umar ki zarbayen kaafi dair tak chhupi rehti hain.

Bano Qudsia Quotes About Aurat

bano qudsia quotes about aurat
Bano Qudsia Quotes About Aurat

16- جب عورت کے ٹخنے بھاری ہونے لگتے ہیں اور وہ منہ اور ٹانگیں کھول کر سونے لگتی ہے تو گھر میں اس کی باتیں ملازمہ اور جمعدارنی کے علاوہ کوئی نہیں سنتا. جب گھر کے بچے اسے ماں کہتے ہیں اور گلی کے چھوکرے اسے دادی اماں بلانے لگتے ہیں، یہ عمر عورت کے لیے خوفناک عمر ہے.

16- Jab aurat ke takhnay bhari hone lagte hain aur woh moun aur tangain khol kar sone lagti hai to ghar mein is ki batein malaazma aur jamadarni ke ilawa koi nahin suntā. Jab ghar ke bachay usay maa’n kehtay hain aur gali ke chhokray usay dadi aman bulane lagtay hain, yeh umar aurat ke liye khofnaak umar hai.

17- عمر کا خوف عورت کو جوانی میں ہی عطا ہو جاتا ہے۔ جب کبھی وہ اچانک کسی بوڑھی عورت کو دیکھ لیتی ہے تو سوچتی ہے کہ کیا کبھی میں بھی اس طرح ہو جاؤں گی.

17- Umar ka khauf aurat ko jawani mein hi ata hai. Jab kabhi woh achanak kisi boorhi aurat ko dekh leti hai to sochti hai ke kya kabhi main bhi is tarah ho jaungi.

bano qudsia quotes about aurat
Bano Qudsia Quotes About Aurat

18- بھاگ بھاگ کر سسرال والوں کی خدمت کرنے والی، ساس نندوں کے طعنے سنے والی، مرد کو مجازی خدا سمجھنے والی مڈل کلاس لڑکی کے ساتھ آج کے ماڈرن مرد کا دل نہیں لگتا.

18- Bhaag bhaag kar sasural walon ki khidmat karne wali, saas nandon ke taane sunne wali, mard ko majazi Khuda samajhne wali middle class ladki ke saath aaj ke modern mard ka dil nahin lagta.

19- آج کی عورت تضاد کا شکار ہے اگر وہ اپنے مذہب کو معیار زندگی بنائے تو اس کی مارکیٹ ویلیو کم ہو جاتی ہے، مغربی سانچے میں ڈھلے تو پبلک اوپینین زیادہ تر خلاف رہتی ہے.

19- Aaj ki aurat tazad ka shikar hai agar woh apne mazhab ko ma’yar-e-zindagi banaye to us ki market value kam ho jati hai, maghribi saanchy mein dhale to public opinion zyada tar khilaf rehti hai.

bano qudsia quotes about aurat
Bano Qudsia Quotes About Aurat

20- مادی ترقی نے جس آئیڈیل عورت کی تشکیل کی ہے وہ نئی کار، خوبصورت گھر، اونچے بیورو کریٹ کی زندگی میں فٹ آنے والی لڑکی ہے.

20- Maadi taraqqi ne jis ideal aurat ki tashkeel ki hai woh nayi car, khubsoorat ghar, oonche bureaucrat ki zindagi mein fit aane wali ladki hai.

21- عورت کو بڑے بوڑھوں سے پیار اس وقت تک ملتا ہے جب سر پر اوڑھنی اور ہونٹوں پر جی حضوری ہو.

21- Aurat ko baray boorhon se pyar us waqt tak milta hai jab sar par oorhni aur honton par ji hozoori ho.

Conclusion

In conclusion, Bano Qudsia’s quotes stand as timeless gems that transcend language and culture. Whether in Urdu or English, her insights about life, love, relationships, and gender dynamics continue to resonate deeply. As we’ve explored her thought-provoking expressions about mard, aurat, husband and wife relationships, we’ve gained a glimpse into the intricacies of human connections. Through her words, Bano Qudsia’s legacy lives on, inspiring us to reflect, learn, and grow. Join us in continuing to unravel the layers of wisdom she left behind and let her quotes be a guiding light in our journey of understanding.

Also Read

20 Amazing Manto Quotes In Urdu

Best New Mushtaq Ahmed Yousufi Funny Quotes In Urdu

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.