31. جب کوئی لڑکی آپ کو اپنے ذہن میں موجود کسی منفی چیز کو بتا دیتی ہے تو اس کا مطلب یہ نہیں ہے کہ وہ آپ سے شکایت کر رہی ہے بلکہ اس کا مطلب یہ ہے کہ وہ آپ پر بھروسہ کرتی ہے.
Jab koi ladki aapko apne zehan mein maojood kisi manfi cheez ko bata deti hai to is ka matlab yeh nahi hai ke woh aap se shikayat kar rahi hai balkeh is ka matlab yeh hai ke woh aap par bharosa karti hai.
32. ایک سروے کے مطابق 91 فیصد عورتیں اپنے جسم سے خوش نہیں ہوتی ہیں یہی وجہ ہے کہ وہ اچھے جسم کے حصول کے لیے ڈائٹنگ اور ورزش کرتی ہیں.
Ek survey ke mutabiq 91 feesad auratein apne jism se khush nahi hoti hain yahi wajah hai ke woh achay jism ke hasool ke liye dieting aur warzish karti hain.
33. 1950 تک صرف 5 فیصد عورتیں اپنے بال رنگتی تھیں جبکہ آج یہ تعداد 75 فیصد تک پہنچ چکی ہے.
1950 tak sirf 5 feesad auratein apne baal rangti thin jabke aaj yeh tadad 75 feesad tak pohanch chuki hai.
34. پنک رنگ کے استعمال سے عورتیں اپنی عمر سے کم عمر لگتی ہیں.
Pink rang ke istemaal se auratein apni umar se kam umar lagti hain.
35. دوسری جنگ عظیم میں نرسز ہمیشہ سرخ لپ سٹک لگاتی تھیں یہ اس لیے کیا جاتا تھا تاکہ نرسز کو احساس دلایا جا سکے کہ وہ خوبصورت عورتیں ہیں، اس کے علاوہ نرسز کی سرخ لپ سٹک کا زخمی فوجیوں پر بھی مثبت اثر پڑتا تھا اور وہ جلدی ٹھیک ہو جاتے تھے.
Dusri jang-e-azim mein nurses hamesha surkh lip stick lagati thin ye is liye kiya jata tha takay nurses ko ehsaas dilaya ja sake ke woh khubsoorat auratein hain, is ke alawa nurses ki surkh lip stick ka zakhmi foujiyon par bhi musbat asar parta tha aur woh jaldi theek ho jate thay.
سن 1991 میں مغربی ممالک میں جو سیاستدان عورتیں اپنے سجنے سنورنے کے لیے بہترین میک اپ آرٹسٹوں اور فوٹوگرافروں کی مدد لتی تھیں وہ دوسروں کے مقابلے میں 30 فیصد زیادہ ووٹ لیتی تھیں.
1991 mein Maghribi mumalik mein jo siyasiyatdan auratein apne sajnay sanwarnay ke liye behtareen make up artists aur photographers ki madad leti thin woh dosron ke muqable mein 30 feesad zyada vote leti thin.
37. اگر دنیا میں عورت نہ ہوتی تو دنیا میں موجود پیسے کا کوئی مقصد نہ ہوتا.
Agar duniya mein aurat nah hoti to duniya mein maojood paisay ka koi maqsad nah hota.
38. جب بھی کوئی عورت کسی دوسری عورت سے مقابلہ کرتی ہے تو دراصل وہ خود کی بے عزتی کرتی ہے.
Jab bhi koi aurat kisi dosri aurat se muqablah karti hai to darasal woh khud ki be-izzati karti hai.
39. سمجھدار عورتیں ایک ہی وقت میں متعدد زمہ داریاں لینے کی صلاحیت رکھتی ہیں.
Samajhdar auratein aik hi waqt mein mutadid zimmedariyan lenay ki salahiyat rakhti hain.
40. عورت کی سب سے پرکشش خوبی اس کا وقار ہے.
Aurat ki sab se purkashish khoobi uska waqar hai.
41. سادہ مزاج عورت سمجھدار عورت کے مقابلے میں ضرورت سے زیادہ اچھی ہوتی ہے جس کی وجہ سے زندگی میں اسے کئی طرح کے نقصانات اٹھانا پڑتے ہیں.
Sada mizaaj aurat samajhdar aurat ke muqablay mein zaroorat se zyada achi hoti hai jis ki wajah se zindagi mein use kai tarah ky nuqsanaat uthana partay hain.
Aurat Ki Izzat Quotes In Urdu
42. ہر وقت میسر رہنے والی عورتیں دوسروں کو موقع فراہم کرتی ہیں کہ وہ ان کی زندگی کے خوبصورت باغ میں منفی بیج بو دیں.
Har waqt maysar rehnay wali auratein dosron ko mauqa faraham karti hain ke woh unki zindagi ke khoobsurat bagh mein manfi beej bo daain.
43. اگر سمجھدار عورت کو عزت اور تعلق کے درمیان کسی ایک چیز کو چننا پڑے تو وہ عزت کو ترجیح دے گی ایسی عورتیں اپنی زندگی کی ہدایت کار خود ہوتی ہیں.
Agar samajhdar aurat ko izzat aur taluq ke darmiyan kisi aik cheez ko chunna pare to woh izzat ko tarjeeh de gi aisi auratein apni zindagi ki hedayat kar khud hoti hain.
44. عقلمند عورت کی یہ طاقت ہے کہ وہ بات بات میں دوسروں سے مشورہ نہیں لیتی اور اپنی زندگی کو خود اپنے کنٹرول میں رکھتی ہے.
Aqalmand aurat ki yeh taqat hai ke woh baat baat mein dosron se mashwara nahi leti aur apni zindagi ko khud apne control mein rakhti hai.
45. ذہین عورت وضاحتوں سے بچنے کے لیے ہر چیز سے متفق ہو جاتی ہے مگر کرتی وہی کچھ ہے جو اسے بہتر لگتا ہے.
Zaheen aurat wazahaton se bachne ke liye har cheez se muttafiq ho jati hai magar karti wohi hai jo use behtar lagta hai.
46. جب کوئی عورت اپنے حق کے لئے آواز اٹھاتی ہے تو اس کا مطلب ہے وہ تمام مظلوم عورتوں کے لیے آواز اٹھا رہی ہے.
Jab koi aurat apne haq ke liye awaz uthati hai to is ka matlab hai ke woh tamam mazloom auraton ke liye awaz utha rahi hai.
47. جب عورت ایک بار عزت و احترام کا مزہ چکھ لیتی ہے تو پھر وہ محض کسی کی توجہ پانے کے لیے اپنی عزت پر سمجھوتہ کبھی نہیں کرتی.
Jab aurat aik baar izzat o ehtram ka maza chakh leti hai to phir woh mahez kisi ki tawajjuh pane ke liye apni izzat par samjhotha kabhi nahi karti.
48. اس دور کی سمجھدار عورت دوسروں کے معیار پر پورا اترنے کی بجائے زندگی گزارنے کے اپنے معیار بناتی ہے.
Is daor ki samajhdar aurat dosron ke maeyar par pura utarne ki bajaye zindagi guzarne ke apne maeyar banati hai.
49. کسی طرح کی بدتمیزی کی صورت میں چالاک عورت سنجیدہ چہرہ بنانے کی بجائے مذاق مذاق میں بہت کچھ کہہ جاتی ہے.
Kisi tarah ki badtameezi ki soorat mein chalak aurat sanjeeda chehra banane ki bajaye mazak mazak mein bahot kuch keh jati hai.
50. مضبوط عورت زمانے سے لڑتی ہے، مسائل کا سامنا کرتی یے، اپنوں کی بے رخی برداشت کرتی ہے، مگر اس کے لیے زندگی میں ناکامی کوئی آپشن نہیں ہوتا.
Mazboot aurat zamane se ladti hai, masaail ka samna karti hai, apnon ki be rukhi bardasht karti hai, magar us ke liye zindagi mein nakami koi option nahi hota.
51- عورت کی خوبصورتی اس کے دل میں ہوتی ہے نہ کہ اس کے چہرے میں.
Aurat ki khoobsurti uske dil mein hoti hai na ke uske chehre mein.
52- عورت کا سب سے بڑا ہتھیار اس کا مرد سے کمزور ہونا ہے.
Aurat ka sabse bara hathiyar uska mard se kamzor hona hai.
Women Quotes In Urdu
53- عورتیں کبھی اپنے دل کی بات نہیں کہتیں وہ اپنے چہرے سے بولتی ہیں.
Auratein kabhi apne dil ki baat nahi kehtin woh apne chehre se bolti hain.
54- عورت کی عظمت اس کے حوصلے میں ہے نہ کہ اس کے لباس میں.
Aurat ki azmat uske hosle mein hai na ke uske libaas mein.
55- عورت کی خوبصورتی اس کے کردار میں ہوتی ہے نہ کہ اس کے لباس میں.
Aurat ki khoobsurti uske kirdar mein hoti hai na ke uske libaas mein.
56- عورت کو سمجھنے کے لیے ضروری ہے کہ آپ اسے محسوس کریں نہ کہ اس کا تجزیہ کریں.
Aurat ko samajhne ke liye zaroori hai ke aap usy mehsoos karein na ke uska tajziya karein.
57- عورت کا دل بہت نازک ہوتا ہے اس کے احساسات کی قدر کرنا ضروری ہے.
Aurat ka dil bahot nazuk hota hai, uske ehsaasat ki qadr karna zaroori hai.
58- عورت کا مزاج مرد کے اچھے برتاؤ سے تبدیل ہو سکتا ہے.
Aurat ka mizaj mard ke achhe bartao se tabdeel ho sakta hai.
59- عورت وہ ہستی ہے جو محبت میں زمین سے آسمان تک کا سفر طے کر سکتی ہے.
Aurat woh hasti hai jo mohabbat mein zameen se aasman tak ka safar tay kar sakti hai.
60- عورت کی عزت کرنا معاشرے کی خوبصورتی کی علامت ہے.
Aurat ki izzat krna muashray ki khoobsurti ki alamat hai.
Also Read
150 Best Motivational Quotes In Urdu