...

25 Best Habits and Traits of Wealthy People

Daulat mand log wazi maashi maqasid ka tayyun karte hain taakay un ko hasil karne ke liye qabil-e-amal hikmat-e-amli banayi ja sakay.

14- مالدار لوگ معاشی کامیابی کے لیے صبر اور نظم و ضبط سے کام لیتے ہیں.

Maldaar log maashi kamiyabi ke liye sabr aur nazm o zabt se kaam lete hain.

Rich people habits

15- مالی استحکام کے لئے معاشی طور پر کامیاب لوگوں سے تعلقات بڑھانا نہایت ضروری ہوتا ہے.

Maali istehkaam ke liye maashi tor par kamiyab logon se talluqaat barhana nihayat zaroori hota hai.

Quotes About Money In Urdu

Health and wealth

16- امیر لوگ کام اور اپنی تندرستی کے درمیان توازن رکھتے ہیں تاکہ ذہنی اور جسمانی صحت کو برقرار رکھا جا سکے.

Ameer log kaam aur apni tandurusti ke darmiyan tawazun rakhte hain taakay zehni aur jismani sehat ko barqarar rakha ja sakay.

17- مالدار انسان اپنی ناکامی کو سبق کے طور پر لیتا ہے اور مزید خطرات مول لینے سے نہیں گھبراتا.

Maldaar insaan apni nakami ko sabaq ke tor par leta hai aur mazeed khatraat mol lene se nahi ghabrata.

18- امیر آدمی عورت کے پیچھے بھاگنے کی بجائے اپنے مقاصد پر نظر رکھتا ہے.

Ameer aadmi aurat ke peeche bhagnay ki bajaye apne maqasid par nazar rakhta hai.

19- امیر انسان اپنے وقت کو بہت قیمتی سمجھتا ہے اور اپنے دن بھر کے کاموں کی فہرست بناتا ہے.

Ameer insaan apne waqt ko bohat qeemati samajhta hai aur apne din bhar ke kamon ki fehrist banata hai.

20- مالدار انسان اپنے فیصلے خود لیتا ہے اور نقصان کی صورت میں دوسروں کو الزام نہیں دیتا.

Maldaar insaan apne faislay khud leta hai aur nuqsan ki soorat mein dosron ko ilzam nahi deta.

21- امیر انسان ہر حال میں شکرگزار رہتا ہے اور ہر وقت حالات کو بددعائیں نہیں دیتا.

Ameer insaan har haal mein shukr guzar rehta hai aur har waqt halat ko badduain nhi daita.

Paisa Quotes

Rich people habits

22- امیر آدمی شریک حیات کا انتخاب کرتے وقت اس کی ظاہری خوبصورتی کے ساتھ ساتھ اس کی ذہنی صلاحیتوں کو بھی ملحوظ رکھتا ہے.

Ameer aadmi shareek-e-hayat ka intikhab karte waqt uski zahiri khoobsurati ke saath saath uski zehni salahiyat ko bhi malhooz rakhta hai.

23- امیر انسان ہر رات اگلے دن کے کاموں کی فہرست بنا لیتے ہیں تاکہ اگلی صبح کام کے آغاز میں آسانی رہے.

Ameer insaan har raat agle din ke kamon ki fehrist bana lete hain taakay agli subah kaam ke aghaz mein aasani rahe.

24- دولتمند لوگوں کو صبح جلدی اٹھنے اور رات کو جلدی سونے کی عادت ہوتی ہے.

Daulatmand logon ko subah jaldi uthne aur raat ko jaldi sone ki aadat hoti hai.

25- مالدار لوگ اپنے فرصت کے لمحات کو بھرپور طریقے سے جیتے ہیں اور اس وقت بزنس یا کاروبار پر بات چیت نہیں کرتے.

Maldaar log apne fursat ke lamhaat ko barpoor tareeqay se jeete hain aur is waqt business ya karobar par baat cheet nahi karte.

Paisa quotes in urdu

26- امیر انسان کو خود پر یقین ہوتا ہے کہ وہ محنت اور اچھی حکمت عملی سے پیسہ کما سکتا ہے.

Ameer insaan ko khud par yaqeen hota hai ke woh mehnat aur achi hikmat-e-amli se paisa kama sakta hai.

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.