Table of Contents
Introduction
Discover the profound wisdom and timeless inspiration of Islamic quotes in Urdu. Dive into a collection of soul-stirring reflections that resonate with the richness of the Urdu language, illuminating the beauty and depth of Islamic teachings. Join us as we explore these eloquent quotes that offer guidance, solace, and spiritual nourishment in every aspect of life.
اردو میں اسلامی اقوال کے مداحوں کو خوش آمدید. اس بلاگ میں اسلام کے متعلق خوبصورت اسلامی اقوال کا بہترین مجموعہ پیش کیا گیا ہے. ان اقوال کو پڑھنے اور غور و خوص کرنے سے آپ زندگی کے ہر شعبہ میں رہنمائی، سکون، اور روحانیت پا سکتے ہیں.
Islamic Quotes
1- دنیا دار کے لیے جہاں صبر کا حکم ہے وہاں اللہ کے بندوں کو شکر کرنے کا حکم ہے.
Dunya daar ke liye jahan sabr ka hukm hai wahan Allah ke bandon ko shukr karne ka hukm hai.
2- کسی پسندیدہ چیز کے چھن جانے یا پھر کسی ناپسندیدہ چیز کے آ جانے کو خوف کہتے ہیں.
Kisi pasandeeda cheez ke chhin jaane ya phir kisi napasandeeda cheez ke aa jaane ko khof kehte hain.
3- جس سے طاقت ملتی ہے اس سے کمزوری ملتی ہے. جس کو سیاست میں عزت ملے گی اس کو سیاست میں ذلت ملے گی. جس کو دوست کی طرف سے عزت ملے گی اس کو دوست ہی کی طرف سے ذلت ملے گی اور جس کو اللہ کی طرف سے عزت ملے گی تو اسے عزت ہی ملے گی اور اگر ذلت ہے تو اللہ ہی کی طرف سے ہے وہ جسے چاہتا ہے عزت دیتا ہے اور جسے چاہتا ہے ذلت دیتا ہے.
Jis se taqat milti hai us se kamzori milti hai. Jis ko siyasat mein izzat milegi us ko siyasat mein zillat milegi. Jis ko dost ki taraf se izzat milegi us ko dost hi ki taraf se zillat milegi aur jis ko Allah ki taraf se izzat milegi to usse izzat hi milegi aur agar zillat hai to Allah hi ki taraf se hai woh jise chahta hai izzat deta hai aur jise chahta hai zillat deta hai.
4- اللہ تعالیٰ کا تقرب جنت ہے اور اللہ تعالیٰ سے دوری دوزخ ہے، عشق نبی جنت ہے اور عشق نبی سے دوری دوزخ ہے.
Allah Ta’ala ka taqarrub jannat hai aur Allah Ta’ala se doori dozakh hai, ‘Ishq-e-Nabi’ jannat hai aur ‘Ishq-e-Nabi’ se doori dozakh hai.
5- اگر تیری نسبت باقی کے ساتھ ہو گئی تو تو باقی ہو جائے گا. اب تیری نسبت فانی کے ساتھ ہے، اس لئے تو فانی ہے.
Agar teri nisbat baqi ke saath ho gayi to tu baqi ho jayega. Ab teri nisbat fani ke saath hai, is liye tu fani hai.
6- اگر تذبذب کو تسلیم میں داخل کر دو تو موت سے پہلے مرنے کی بات سمجھ آجائے گی.
Agar tazabzub ko tasleem mein daakhil kar do to maut se pehle marne ki baat samajh aa jayegi.
7- تصور شیخ کا مطلب یہ ہے کہ آپ جو بھی کام کر رہے ہیں اگر شیخ موجود ہوتا تو وہ اس کام کو کیسا ہونا پسند کرتا. یعنی یہ ایسی کیفیت ہے کہ آپ جو بھی کام کر رہے ہیں، شیخ کی عدم موجودگی میں بھی اس کی مرضی کے مطابق ہو.
Tasavvur-e-Sheikh ka matlab yeh hai ke aap jo bhi kaam kar rahe hain agar Sheikh mojood hota to woh us kaam ko kaisa hona pasand karta. Yani yeh aisi kifiyat hai ke aap jo bhi kaam kar rahe hain, Sheikh ki adam mojoodgi mein bhi us ki marzi ke mutabiq ho.
8- ہمارے ہاں دقت یہ ہے کہ جو علماء صاحبان ہیں، وقت کے تقاضوں سے بے خبر ہیں اور جو لوگ عظیم ہیں وہ احکام شریعت سے غافل نظر آتے ہیں.
Hamare haan diqat yeh hai ke jo ulama sahaban hain, waqt ke taqazon se be khabar hain aur jo log azeem hain woh ahkam-e-shariat se ghaafil nazar aate hain.
9- جو شخص ہر وقت ایک ہی خیال میں رہے اسے نہ آنے والے واقعات کا ڈر ہے اور نہ ماضی میں ہونے والے عمل کا.
Jo shakhs har waqt ek hi khayal mein rahe usse na aanay waale waqiaat ka darr hai aur na maazi mein hone waale amal ka.
10- گناہ گار ماضی، حال میں توبہ کر کے نیک بن جاتا ہے، آنے والے اندیشے حال میں توبہ کرنے سے بہتر ہو سکتے ہیں.
Gunahgaar maazi, haal mein toba kar ke neik ban jaata hai, aanay waale andeshe haal mein toba karne se behtar ho sakte hain.
11- تھوڑی دیر کے لیے اگر آپ اپنے آپ کو ایسا بنا لیں جیسے پیدا ہونے والا بچہ ہے یامرنے والا انسان ہے تو سکون پیدا ہو جائے گا۔
Thorri dair ke liye agar aap apne aap ko aisa bana lein jaise paida hone waala bacha hai ya marne waala insaan hai to sukoon paida ho jayega.
12- جس نے اپنی زندگی کو قبول کر لیا اس نے خدا کو مان لیا.
Jis ne apni zindagi ko qabool kar liya usne Khuda ko maan liya.
Islamic Quotes In Urdu
13- باطن کا سفر یہ ہے کہ جہاں ایسا موقع آ جائے کہ آپ دین میں جائیں یا دنیا میں تو وہاں پر اپنا دین محفوظ کر لیں.
Baatin ka safar yeh hai ke jahan aisa moqa aa jaaye ke aap deen mein jaayein ya dunya mein to wahan par apna deen mahfooz kar lein.
14- اولاد کو زمانہ جدید کے مطابق تعلیم دو تا کہ رزق کما سکیں اور دین کا علم دو تا کہ وہ برباد نہ ہو جائیں.
Aulad ko zamanah jadeed ke mutabiq taleem do taake rizq kama sakein aur deen ka ilm do taake woh barbaad na ho jayein.
15- کوئی بھی مسلمان خوشی سے گناہ نہیں کرتا. گناہ بیماری کی طرح کہیں سے اسے لاحق ہو جاتا ہے.
Koi bhi Musalman khushi se gunaah nahi karta. Gunah bimari ki tarah kahin se usse lahaq ho jaata hai.
16- جہاں آپ اللہ کے سامنے جواب دہ ہیں وہاں آزاد نہ ہونا اور جہاں آزاد ہیں وہاں پر پابند نہ ہونا.
Jahan aap Allah ke samne jawaab dah hain wahan azaad na hona aur jahan azaad hain wahan par paaband na hona.
17- اگر تیرے باپ کی شادی ہو گئی تھی تو تیری بھی ہو جائے گی اور تیرے بچوں کی بھی ہو جائے گی. دراصل شادی روپے پیسے سے نہیں بلکہ اللہ کے حکم سے ہوتی ہے.
Agar teri baap ki shaadi ho gayi thi to teri bhi ho jayegi aur teri bachon ki bhi ho jayegi. Darasal shaadi rupai pesey se nahi balkay Allah ke hukm se hoti hai.
Read More 120 Amazing Wasif Ali Wasif Quotes In Urdu | Urdu Quotes
18- اگر آپ یوسف ہیں تو آپ کے گیارہ بھائی بھی موجود ہیں جو بھائی کے ساتھ ظلم کرنے والے ہیں اور بھائی کے مرتبے کے ساتھ ظلم کرنے والے ہیں. سارا قرآن اس بات سے بھرا پڑا ہے کہ جب اپنوں نے اپنوں کو دھوکہ دیا وہاں کوئی علاج نہیں ہو سکا.
Agar aap Yusuf hain to aap ke gyarah bhai bhi maujood hain jo bhai ke saath zulm karne wale hain aur bhai ke martabe ke saath zulm karne wale hain. Saara Quran is baat se bhara para hai ke jab apnon ne apnon ko dhoka diya wahan koi ilaaj nahi ho sakaa.
19- کسی تنگ دل کا مال نہ کھاؤ اس کے ہاں کھانا بھی نہ کھاؤ، تنگ دل انسان سے بچ کے رہو تو سکون مل جائے گا سخی دل انسان سے ملا کرو سخی دل سے اگر تم کچھ لے بھی لو گے تو بھی وہ تمہارے لئے دعا کرے گا.
Kisi tang dil ka maal na khao us ke haan khana bhi na khao, tang dil insaan se bach ke raho to sukoon mil jayega. Sakhi dil insaan se mila karo sakhi dil se agar tum kuch le bhi lo gaye to bhi woh tumhare liye dua kare ga.
20- بزرگوں نے اللہ کے فضل و کرم کو مانگنے کا طریقہ یہ بتایا ہے کہ اللہ سے فضل و کرم نہ مانگو اللہ جو کر رہا ہے وہ فضل و کرم ہے.
Buzrugon ne Allah ke fazl o karam ko maangne ka tareeqa yeh bataya hai ke Allah se fazl o karam na maango Allah jo kar raha hai woh fazl o karam hai.
21- آج اتنا مشکل دور ہے کہ اس میں نیکی نہیں ہو سکتی، پھر بھی مساجد بھری پڑی ہیں.
Aaj itna mushkil daur hai ke is mein neki nahi ho sakti, phir bhi masajid bharri pari hain.
22- اللہ کے خوف سے اپنی زندگی سے وہ کام نکال دو جو اللہ کے خوف کا باعث ہو سکتا ہے.
Allah ke khauf se apni zindagi se woh kaam nikaal do jo Allah ke khauf ka bayas ho sakta hai.
23- جب تک اپنے آپ کو اللہ کے آگے پوری طرح جواب دہ نہ پاؤ، کسی انسان کو اپنے سامنے جواب دہ نہ بناؤ.
Jab tak apne aap ko Allah ke aagey poori tarah jawaab daih na pao, kisi insaan ko apne samne jawaab daih na karna.
24- اگر ایک ہاتھ اللہ کے لیے رکھ دو تو سارا وجود ہی اللہ کا ہو جائے گا.
Agar ek haath Allah ke liye rakh do to saara wajood hi Allah ka ho jayega.
25- آپ کی قیامت اس دن آ جائے گی جس دن آپ نہیں ہوں گے.
Aap ki qayamat us din aa jayegi jis din aap nahi honge.