...

50 Beautiful Islamic Quotes in Urdu : Islamic Aqwal E Zareen

26- شیطان اس لئے شیطان بنا کہ اس نے عبادت کو تو مانا لیکن معبود کو نہ مانا.

Shaytan is liye shaytan bana ke shaytan bana ke us ne ibadat ko to maana lekin maabood ko nahi maana.

Read More 60 Best Life Quotes In Urdu : Inspiring and Thought-Provoking Zindagi Quotes

Islamic Quotes In Urdu
Islamic Quotes In Urdu

27- اگر اللہ معاف کر دے تو گناہ کیا ہے اگر اللہ نامنظور کردے تو نیکی کیا ہے؟

Agar Allah maaf kar de to gunaah kiya hai agar Allah na manzoor kar de to neki kiya hai?

28- آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کی ذات گرامی اتنی مکمل ہے کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے دم سے ہی صفات کی تکمیل ہوگی.

Aap SallAllahu Alaihi Waallaih Wasallam ki zat-e-garami itni mukammal hai ke aap Sallallahu Alaihi Waallaih Wasallam ke dam se hi sifat ki takmeel hogi.

29- اللہ ہر آخر کا اول اور ہر اول کا آخر ہے.

Allah har aakhir ka awwal aur har awwal ka aakhir hai.

30- مغربی تہذیب اپنے منطقی انجام کو پہنچ گئی ہے اس کی کوئی لذت ایسی نہیں رہ گئی جو گناہ نہ ہو.

Maghribi tehzeeb apne mantaqi anjaam ko phunch gayi hai is ki koi lazat asi nahi rah gai jo gunaah na ho.

31- آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے اللہ کریم کے بارے میں جو کچھ ارشاد فرمایا، وہ ہماری تحقیق میں نہ آ سکنے کے باوجود صداقت ہے بلکہ صداقت مطلق ہے.

Aap SallAllahu Alaihi Waallaih Wasallam ne Allah Kareem ke baray mein jo kuch irshaad farmaya, woh hamari tehqeeq mein na aa sakne ke bawajood sadaqat hai balkay sadaqat mutlaq hai.

Islamic Aqwal E Zareen

Islamic Quotes In Urdu
Islamic Quotes In Urdu

32- جس کا آغاز نہ ہو اس کا انجام نہیں ہو سکتا، اللہ ہر آغاز سے پہلے ہے اور ہر انجام کے بعد.

Jis ka aghaz na ho us ka anjaam nahi ho sakta, Allah har aghaz se pehle hai aur har anjaam ke baad.

33- اللہ انسان پیدا کرتا ہے، انسانوں سے پیار کرتا ہے اور لوگ عبادت کے بہانے انسانوں سے بے زاری کا اظہار کرتے ہیں.

Allah insaan paida karta hai, insano se pyar karta hai aur log ibadat ke bahaane insano se bezaari ka izhaar karte hain.

34- حال کی غلطی جو مستقبل میں اپنے لئے سزا مرتب کر چکی ہے یا لکھ چکی ہے اس سے بچانے والی شئے رحمت کہلائے گی.

Haal ki ghalti jo mustaqbil mein apne liye saza murtab kar chuki hai ya likh chuki hai us se bachane wali shay rahmat kahlayegi.

Islamic Quotes In Urdu
Islamic Quotes In Urdu

35- جس دور میں انسان کو حقوق کے حصول کے لے جہاد کرنا پڑے اسے جبر کا دور کہتے ہیں اور اگر حقوق کے لیے صرف دعا کا سہارا ہی باقی رہ جائے تو اسے ظلم کا دور کہتے ہیں.

Jis daur mein insaan ko haqooq ke hasool ke liye jehad karna pare usse jabr ka daur kehte hain aur agar haqooq ke liye sirf dua ka sahara hi baaqi reh jay to usse zulm ka daur kehte hain.

36- اگر انسان صرف اپنے ماں باپ کے عمل سے پیدا ہوتا تو ماں باپ کو یہ حق ہونا چاہئے کہ وہ چاہیں تو بیٹے پیدا ہوں اور چاہیں تو بیٹیاں پیدا ہوں. مگر ایسا نہیں ہے.

Agar insaan sirf apne maan baap ke amal se paida hota to maan baap ko yeh haq hona chahiye ke woh chahen to betay paida hon aur chahen to betiyan paida hon. Magar aisa nahi hai.

37- وہ لوگ جو انسان کو چھوڑ کر یا انسان سے منہ موڑ کر خدا کی تلاش کرتے ہیں کامیاب نہیں ہو سکتے.

Woh log jo insaan ko chhor kar ya insaan se munh mor kar Khuda ki talash karte hain kaamyaab nahi ho sakte.

38- اگر زندگی کا کیا ہوا حاصل آخرت میں کام نہیں آنا تو اس حاصل کو محرومی کہو.

Agar zindagi ka kiya hua haasil aakhirat mein kaam nahi aana to us haasil ko mehroomi kaho.

39- گناہ گار کا گناہ عاجزی پیدا کر رہا ہو تو وہ بچ سکتا ہے.

Gunahgaar ka gunah aajzi paida kar raha ho to woh bach sakta hai.

اسلامی اقوال زریں

Islamic Quotes In Urdu
Islamic Quotes In Urdu

40- سب سے بھاری دن وہ ہے جب اعمال کے مطابق انصاف مل جائے گا اور سب سے آسان دن وہ ہے جب تمہیں ایسا انعام ملے جو تمہارا حق نہیں تھا.

Sab se bhaari din woh hai jab amaal ke mutabiq insaaf mil jaaye ga aur sab se aasan din woh hai jab tumhein aisa in’aam milay jo tumhara haq nahi tha.

41- ہم ایک محدود رسائی کی آنکھ سے لامحدود منظر کو دیکھتے ہیں اور پھر فوراً فیصلہ کر کے اعلان کر دیتے ہیں کہ ہم زمین کی وسعتوں میں پھرئے، سمندروں کی تہہ تک پہنچے، خلاؤں کا چپہ چپہ چھان مارا. ہمیں کوئی خدا نہیں ملا.

Hum ek mehdood rasai ki ankh se la mehdood manzar ko dekhte hain aur phir foran faisla kar ke ilan kar dete hain ke hum zameen ki wusaton mein phiray, samundron ki teh tak pohnchay, khalao’n ka chappa chappa chaan mara. Humain koi Khuda nahi mila.

42- اپنے آپ کو بدنصیب کہنے کے گناہ سے بچتے رہو.

Apne aap ko badnaseeb kehne ke gunaah se bachte raho.

43- آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کا کردار، کردار کی انتہا ہے.

Aap SallAllahu Alaihi Waallaih Wasallam ka kirdar, kirdar ki intiha hai.

44- تم کیسے نظر آؤ گے اس دن جب عمل تبدیل کرنے کا موقع نہ دیا جائے گا. جب توبہ لفظ کے طور پر تو ہو گا لیکن اس کے کوئی معنی نہ ہوں گے.

Tum kaise nazar aoge us din jab amal tabdeel karne ka mauqa na diya jaaye ga. Jab toba lafz ke tor par to ho ga lekin is ke koi ma’na nahi honge.

Islamic Quotes In Urdu
Islamic Quotes In Urdu

45- عدل کرنا صرف خوف خدا اور فضل خدا سے ممکن ہے.

Adl karna sirf khauf e Khuda aur fazl e Khuda se mumkin hai.

46- حضور اکرم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم اکثر دعا فرمایا کرتے تھے کہ اے اللہ مجھے چیزوں کو ان کی اصلی فطرت میں دیکھنے کا شعور عطا فرما.

Hazoor Akram SallAllahu Alaihi Waallaih Wasallam aksar dua farmaya karte thay ke aye Allah mujhe cheezon ko un ki asli fitrat mein dekhne ka shaoor ata farma.

47- خالق کا ہر عمل خالق کی طرح محترم اور معزز ہے.

Khaliq ka har amal Khaliq ki tarah mukarram aur muazziz hai.

48- خود شناسی نہ ہو تو خدا شناسی ممکن ہی نہیں.

Khud shanasi na ho to Khuda shanasi mumkin hi nahi.

49- مسلمان وہ ہے جو ہندو کی نگاہ میں مسلمان ہو.

Musalman woh hai jo Hindu ki nigah mein Musalman ho.

Islamic Quotes In Urdu
Islamic Quotes In Urdu

50- کافر اور مومن میں فرق یہ ہے کہ کافر معجزے کے بعد بھی نہیں مانتا اور مومن معجزے کے بغیر بھی مانتا ہے.

Kafir aur momin mein farq yeh hai ke kafir mojizay ke baad bhi nahi manta aur momin mojizay ke baghair bhi manta hai.

Conclusion

In conclusion, delving into the treasure trove of Islamic quotes in Urdu, or “Islamic aqwal e zareen,” offers profound insights and timeless wisdom. These inspirational teachings not only enrich our spiritual journey but also serve as guiding lights in navigating life’s challenges. Explore, reflect, and embrace the transformative power of Islamic wisdom in Urdu, as it resonates through the ages, inspiring generations to come.

Read More

50 Amazing Famous Allama Iqbal Quotes In Urdu

25 Mind Blowing Famous Quaid E Azam Quotes In Urdu

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.