57- Mohabbat honay mein sirf 0. 2 second lagtay hain.
58- مرد کسی سے ملنے کے صرف 3 دن کے بعد محبت میں مبتلا ہو جاتے ہیں جبکہ خواتین 13 دن سے زیادہ عرصہ گزرنے کے بعد ہی محبت میں مبتلا ہوتی ہیں.
Psychological Facts About Love
58- Mard kisi se milnay ke sirf 3 din ke baad mohabbat mein mubtala ho jatay hain jabkay khawateen 13 din se ziyada arsa guzarnay ke baad hi mohabbat mein mubtala hoti hain.
59- تحقیق کے مطابق سب سے زیادہ خوش و خرم زندگی وہ جوڑے گزارتے ہیں جن کی کوئی اولاد نہیں ہوتی.
59- Tehqeeq ke mutabiq sab se ziyada khush o Khurram zindagi woh jore guzartay hain jin ki koi aulaad nahi hoti.
60- 20 سیکنڈ سے زیادہ گلے ملنے سے آپ کے جسم میں کیمیکل خارج ہوتے ہیں جس سے آپ کا اس شخص پر بھروسہ بڑھ جاتا ہے جسے آپ گلے لگاتے ہیں.
60- 20 second se ziyada galaay milnay se aap ke jism mein chemical kharij hotay hain jis se aap ka us shakhs par bharosa barh jata hai jisay aap galaay lagatay hain.
61- زندگی میں ایک ہی مرد یا عورت سے محبت یا شادی کرنا صرف انسانوں میں نہیں ہے کچھ جانور جیسے راج ہنس، بھیڑیا اور پینگوئن وغیرہ بھی زندگی میں صرف ایک ہی سے محبت یا جنسی تعلق قائم کرتے ہیں.
Zindagi mein aik hi mard ya aurat se mohabbat ya shadi karna sirf insano mein nahi hai kuch janwar jese raj hans, bhediya aur penguin waghera bhi zindagi mein sirf aik hi se mohabbat ya jinsi talluq qaim karte hain.
62- محبت تین طرح کے جذبات پر مشتمل ہوتی ہے. کشش، حوس اور جذباتی لگاؤ
Mohabbat teen tarah ke jazbaat par mushtamil hoti hai. Kashish, hawas aur jazbati lagao.
63- جب دو انسان کسی طرح کے مشکل حالات سے اکٹھے گزرتے ہیں تو ان کے درمیان محبت پیدا ہو جاتی ہے.
Jab do insaan kisi tarah ke mushkil halaat se akathay guzarte hain to un ke darmiyan mohabbat paida ho jati hai.
64- عورتیں اپنے پسندیدہ مرد کے سامنے بیٹھ کر محبت بھری باتیں کرنا بہت پسند کرتی ہیں جبکہ مرد کام کاج کے ساتھ محبت بھری باتیں کرنا پسند کرتے ہیں.
Auratein apne pasandeeda mard ke samne baith kar mohabbat bhari batein karna bahot pasand karti hain jabke mard kaam kaaj ke sath mohabbat bhari batein karna pasand karte hain.
65- انسان جس سے محبت کرتا ہے اوسطاً اس کے ساتھ 1769 دن کا وقت ضرور گزارتا ہے.
Insaan jis se mohabbat karta hai ausatan us ke sath 1769 din ka waqt zaroor guzarta hai.
66- دنیا کی آدھی سے زیادہ شادی شدہ عورتیں یہ سمجھتی ہیں کہ ان کے شوہر ان سے محبت نہیں کرتے.
Duniya ki aadhi se zyada shadi shuda auratein yeh samajhti hain ke un ke shohar un se mohabbat nahi karte.
67- جو مرد اپنی بیوی کو بوس و کنار کرتے رہتے ہیں ان کی عمر میں 5 سال کا اضافہ ہو جاتا ہے.
Jo mard apni biwi ko boos o kinaar karte rehte hain un ki umr mein 5 saal ka izafa ho jata hai.
68- اپنے جیون ساتھی کے متعلق کسی اچھی خبر کو منانے سے محبت میں اضافہ ہوتا ہے.
Apne jeewan saathi ke mutaliq kisi achi khabar ko mananay se mohabbat mein izafa hota hai.
69- دو لوگوں کے زیادہ دیر نظریں ملانے سے ان کے درمیان محبت جنم لے سکتی ہے.
Do logon ke zyada dair nazrein milanay se un ke darmiyan mohabbat janam le sakti hai.
70- ہر انسان شادی سے پہلے تقریباً 7 بار محبت میں مبتلا ہوتا ہے.
Har insaan shadi se pehle taqriban 7 baar mohabbat mein mubtala hota hai.
71- بعض افراد محبت میں مبتلا ہونے سے ڈرتے ہیں کیونکہ انہیں دھوکہ یا دل ٹوٹنے کا خوف ہوتا ہے اور یہ خوف انہیں محبت کے حقیقی تجربے سے دور رکھ سکتا ہے.
Baaz afraad mohabbat mein mubtala honay se darte hain kyunke unhein dhoka ya dil tootnay ka khauf hota hai aur yeh khauf unhein mohabbat ke haqeeqi tajurbe se door rakh sakta hai.
72- حقیقی محبت سے انسان کے اندر کا خوف ختم ہو جاتا ہے اور وہ ہر طرح کے مشکل حالات سے لڑنے کے لیے تیار ہو جاتا ہے.
Haqeeqi mohabbat se insaan ke andar ka khauf khatam ho jata hai aur woh har tarah ke mushkil halaat se larnay ke liye tayyar ho jata hai.
73- محبت کے آغاز میں غیر یقینی صورتحال کی وجہ سے محبت کرنے والے لوگ شدید ذہنی دباؤ کا شکار ہو جاتے ہیں.
Mohabbat ke aaghaz mein ghair yaqini soorat-e-haal ki wajah se mohabbat karne wale log shadeed zehni dabao ka shikar ho jate hain.
74- پسندیدہ انسان کو چاکلیٹ دینے سے محبت بڑھتی ہے.
Pasandeeda insaan ko chocolate dene se mohabbat barhti hai.
75- مرد سرخ رنگ کے کپڑوں میں ملبوس عورت کی جانب زیادہ کشش محسوس کرتے ہیں اور اس سے باتیں کرنا پسند کرتے ہیں.
Mard surkh rang ke kapron mein malboos aurat ki jaanib zyada kashish mehsoos karte hain aur us se baatein karna pasand karte hain.
76- ضروری نہیں کہ دو لوگوں کے درمیان محبت اس لیے ہے کہ وہ بہت باتونی ہوتے ہیں بلکہ محبت ان دو لوگوں کے درمیان بھی ہوتی ہے جو بہت کم بولتے ہیں اور ایک دوسرے کی خاموشی میں بھی سکون محسوس کرتے ہیں.
Zaroori nahi ke do logon ke darmiyan mohabbat is liye hai ke woh bahot batooni hotay hain, balke mohabbat un do logon ke darmiyan bhi hoti hai jo bahot kam boltay hain aur aik doosre ki khamoshi mein bhi sukoon mehsoos karte hain.
77- محبت میں مبتلا افراد جسمانی طور پر زیادہ صحت مند رہتے ہیں. تحقیق سے پتہ چلتا ہے کہ محبت کے تعلقات انسان کے مدافعتی نظام کو بہتر بناتے ہیں.
Mohabbat mein mubtala afraad jismani taur par zyada sehat mand rehte hain. Tehqeeq se pata chalta hai ke mohabbat ke talluqaat insaan ke mudafati nizam ko behtar banate hain.
78- جب دو افراد محبت میں ہوتے ہیں تو ان کے دماغ ایک دوسرے کے لیے مقابلہ کرنے کے رجحان کا شکار ہو سکتے ہیں. محبت کی خاطر غیر شعوری طور پر دوسروں سے بہتر بننے کی خواہش پیدا ہوتی ہے.
Jab do afraad mohabbat mein hotay hain to un ke dimagh aik doosre ke liye muqablay karne ke rujhan ka shikar ho saktay hain. Mohabbat ki khatir ghair shaori tor par doosron se behtar banne ki khwahish paida hoti hai.
79- عورتیں اچھا کھانا کھانے کے بعد محبت کے جواب میں مثبت ردعمل دیتی ہیں.
Auratein acha khana khanay ke baad mohabbat ke jawab mein musbat rad-e-amal deti hain.
80- دو لوگوں کے درمیان جتنی لمبی اور گہری گفتگو کی نشستیں ہوتی ہیں ان کے درمیان اتنا ہی محبت کے امکانات بڑھ جاتے ہیں.
Psychology Of Love
Do logon ke darmiyan jitni lambi aur gehri guftagu ki nashisten hoti hain, un ke darmiyan utna hi mohabbat ke imkanaat barh jate hain.
81- دنیا بھر میں محبوب کو سرخ گلاب دینے کا رواج یونانی محبت کی دیوی وینس کی وجہ سے ہے.
Duniya bhar mein mehboob ko surkh gulaab dene ka rivaaj yunani mohabbat ki devi Venus ki wajah se hai.
82- محبت کے بارے میں ہر وقت سوچتے رہنے والے لوگوں کی تخلیقی صلاحیتوں میں اضافہ ہو جاتا ہے.
Mohabbat ke baare mein har waqt sochte rehne wale logon ki takhleeqi salahiyaton mein izafa ho jata hai.
83- ایک دوسرے کی ظاہری شکل سے متاثر ہونے والے افراد اکثر عارضی تعلق قائم کرتے ہیں جبکہ جذباتی اور ذہنی طور پر ایک دوسرے سے متاثر ہونے والے افراد کے درمیان تعلق گہرا اور دیرپا ہوتا ہے.
Aik doosre ki zahiri shakal se mutasir honay wale afraad aksar aarzi talluq qaim karte hain jabke jazbati aur zehni taur par aik doosre se mutasir honay wale afraad ke darmiyan talluq gehra aur dairpa hota hai.
84- محبوب کا ہاتھ تھامنے سے ذہنی دباؤ اور جسمانی درد میں کمی واقع ہوتی ہے.
Mehboob ka haath thamne se zehni dabao aur jismani dard mein kami waqeh hoti hai.
85- اچھے دوست اچھے جیون ساتھی ثابت ہوتے ہیں.
Achay dost achay jeewan saathi sabit hotay hain.
86- وہ میاں بیوی جو ایک ہی بات پر اکٹھے ہنستے ہیں ان کے درمیان تعلق بہت مضبوط ہوتا ہے.
Woh miyan biwi jo aik hi baat par akathay hanste hain, un ke darmiyan talluq bohat mazboot hota hai.
87- اگر کوئی عورت کسی مرد سے محبت کرتی ہے تو وہ اس مرد کی موجودگی میں بلند آواز میں بہت زیادہ باتیں کرنا شروع کر دے گی.
Agar koi aurat kisi mard se mohabbat karti hai to woh us mard ki majoodgi mein buland awaaz mein bohat zyada baatein karna shuru kar degi.
88- مرد اور عورت کے لیے ایک دوسرے کو اچھے طریقے سے سمجھنے کے لیے 7 مہینے کا وقت چاہیے ہوتا ہے.
Mard aur aurat ke liye aik doosre ko achay tareeqay se samajhne ke liye 7 maheenay ka waqt chahiye hota hai.
89- جو مرد ذہنی دباؤ کا شکار ہوتے ہیں انہیں وزنی عورتیں بہت پسند ہوتی ہیں.
Jo mard zehni dabao ka shikar hotay hain unhein wazni auratein bohat pasand hoti hain.
90- اگر کوئی عورت اچھی یا بری خبر سب سے پہلے آپ کے ساتھ شئیر کرتی ہے تو سمجھ لیں کہ وہ آپ سے محبت کرتی ہے.
Agar koi aurat achi ya buri khabar sab se pehle aap ke sath share krti hai to samajh lein ke woh aap se mohabbat karti hai.
91- عورت مرد کی خوشبو، بال، ہاتھ، ناخن، جوتے اور چہرہ دیکھ کر متاثر ہوتی ہے.
Aurat mard ki khushbu, baal, haath, naakhun, jootay aur chehra dekh kar mutaasir hoti hai.
92- سچی محبت کرنے والے کسی تیسرے انسان کی زبان سے اپنے محبوب کے متعلق منفی بات نہیں سن سکتے. ان کی کوشش ہوتی ہے کہ ان کے پسندیدہ انسان کے بارے میں ہمیشہ مثبت بات کی جائے.
Sachi mohabbat karne wale kisi teesray insaan ki zabaan se apne mehboob ke mutaliq manfi baat nahi sun saktay. Un ki koshish hoti hai ke un ke pasandeeda insaan ke baray mein hamesha musbat baat ki jaye.
93- محبت کرنے والے لوگ ایک دوسرے کے لیے ان کاموں کو بھی خوشی خوشی کرتے ہیں جن کو وہ عام طور پر ناپسند کرتے ہیں.
Mohabbat karne wale log aik dosray ke liye un kaamon ko bhi khushi khushi karte hain jin ko woh aam taur par na pasand karte hain.
94- محبت میں مبتلا ہونے والے افراد کے دماغ میں آکسیٹوسن اور ڈوپامائن جیسے ہارمونز کا اخراج ہوتا ہے جو خوشی اور گہرے تعلق کا احساس بڑھاتے ہیں. یہ کیمیائی مادے محبت کو جسمانی اور دماغی طور پر ایک انتہائی طاقتور تجربہ بناتے ہیں.
Mohabbat mein mubtala hone wale afraad ke dimaagh mein oxytocin aur dopamine jaisay hormones ka ikhraj hota hai jo khushi aur gehre talluq ka ehsas barhate hain. Yeh keemiyai maaday mohabbat ko jismani aur dimaaghi tor par aik intehai taaqatwar tajurba banate hain.
95- محبت کا آغاز ایک انتہائی شدید جذباتی تجربے کے طور پر ہوتا ہے لیکن وقت کے ساتھ ساتھ یہ جذبات ارتقاء پذیر ہوتے ہیں اور پختہ ہونے لگتے ہیں جو تعلق کو مضبوط بناتے ہیں.
Mohabbat ka aaghaz aik intehai shadeed jazbati tajurbe ke tor par hota hai lekin waqt ke saath saath yeh jazbaat irtiqa pazir hotay hain aur pukhta honay lagtay hain jo talluq ko mazboot banate hain.
96- جب کوئی شخص محبت میں مبتلا ہوتا ہے تو دماغ کے کچھ مخصوص حصے فعال ہو جاتے ہیں، جو اس شخص کو جذباتی، جسمانی اور دماغی سطح پر اپنے محبوب کی طرف مائل کرتے ہیں.
Jab koi shakhs mohabbat mein mubtala hota hai to dimaagh ke kuch makhsoos hisay fa’aal ho jatay hain, jo is shakhs ko jazbati, jismani aur dimaaghi satah par apne mehboob ki taraf mail karte hain.
97- محبت میں مبتلا افراد اکثر اپنی زندگی کے باقی تمام پہلوؤں سے نظر ہٹا کر صرف اپنے محبوب پر توجہ مرکوز کر لیتے ہیں، جو کہ دماغ کی ایک قدرتی خصوصیت ہے.
Mohabbat mein mubtala afraad aksar apni zindagi ke baqi tamam pehluon se nazar hata kar sirf apne mehboob par tawajjoh markooz kar lete hain, jo ke dimaagh ki aik qudrati khusoosiyat hai.
98- محبت کے جذبات میں مبتلا شخص بعض اوقات منطقی فیصلے کرنے کی صلاحیت سے عاری ہو جاتا ہے اور وہ اپنی محبت کے جذبات کو فوقیت دیتا ہے، یہاں تک کہ اپنے ذاتی مفادات کو بھی قربان کر دیتا ہے.
Mohabbat ke jazbaat mein mubtala shakhs baaz auqaat mantaqi faislay karne ki salahiyat se aari ho jata hai aur woh apni mohabbat ke jazbaat ko faoqiyat deta hai, yahan tak ke apne zaati mufadaat ko bhi qurban kar deta hai.
99- انسان اپنے ساتھی کو سوچ سمجھ کر نہیں بلکہ غیر شعوری سطح پر منتخب کرتا ہے. بعض ماہرین نفسیات کا ماننا ہے کہ یہ انتخاب ماضی کے تجربات اور بچپن کی یادوں پر مبنی ہوتا ہے.
Insaan apne saathi ko soch samajh kar nahi balkay ghair sha’oori satah par muntakhib karta hai. Baaz maahir-e-nafsiyat ka maanna hai ke yeh intekhaab maazi ke tajurbaat aur bachpan ki yaadon par mabni hota hai.
100- محبت نہ صرف جذباتی تعلق ہے بلکہ یہ حیاتیاتی بقا کے لیے بھی ضروری ہے. ماہرین کے مطابق انسانوں کو بقا کے لیے محبت اور تعلقات کی ضرورت ہوتی ہے، جو کہ ہمارے آباؤ اجداد کی وراثت ہے.
Mohabbat na sirf jazbati talluq hai balkay yeh hayatiyati baqa ke liye bhi zaroori hai. Maahir-e-nafsiyat ke mutabiq insano ko baqa ke liye mohabbat aur talluqaat ki zaroorat hoti hai, jo ke hamaray aabao ajdaad ki wirasat hai.
Interesting Love Quotes And Facts In Urdu
101- وقت کے ساتھ محبت کی نوعیت بدلتی ہے. پہلے مرحلے میں شدید جذبات اور دیوانگی ہوتی ہے. لیکن بعد کے مرحلوں میں یہ جذبات پختگی اور سکون میں بدل جاتے ہیں.
Waqt ke sath mohabbat ki noiyat badalti hai. Pehlay marhalay mein shadeed jazbaat aur diwaangi hoti hai. Lekin baad ke marhalon mein yeh jazbaat pukhtagi aur sukoon mein badal jatay hain.
102- محبت میں مبتلا ہونے والے افراد اکثر جسمانی علامات کا سامنا کرتے ہیں جیسے دل کی دھڑکن تیز ہونا، پسینہ آنا یا ہاتھوں کا کانپنا.
Mohabbat mein mubtala hone wale afraad aksar jismani alamaat ka saamna karte hain jaisay dil ki dharkan taiz hona, paseena ana ya haathon ka kanpna.
103- محبت میں حسد ایک فطری جذبہ ہے، لیکن بعض افراد میں یہ حد سے زیادہ بڑھ سکتا ہے جو تعلقات میں مشکلات پیدا کر سکتا ہے.
Mohabbat mein hasad aik fitri jazba hai, lekin baaz afraad mein yeh had se zyada barh sakta hai jo talluqaat mein mushkilat paida kar sakta hai.
104- محبت میں ناکامی یا دل ٹوٹنے کا تجربہ جسمانی درد جیسا ہوتا ہے. ماہرین نفسیات کا کہنا ہے کہ دل ٹوٹنے کا جذباتی تجربہ دماغ میں جسمانی درد کے مراکز کو فعال کر سکتا ہے.
Mohabbat mein naakaami ya dil tootne ka tajurba jismani dard jaisa hota hai. Maahir-e-nafsiyat ka kehna hai ke dil tootne ka jazbati tajurba dimaagh mein jismani dard ke markaz ko fa’aal kar sakta hai.
105- محبت کے تجربات انسان کے ذہن پر بہت گہرے نقوش چھوڑتے ہیں. جو کہ بعد کی زندگی میں اس کی شخصیت اور رویوں پر اثر انداز ہوتے ہیں.
Mohabbat ke tajurbaat insaan ke zehan par bohat gehre naqosh chhordtay hain, jo ke baad ki zindagi mein is ki shakhsiyat aur rawaiyon par asar andaaz hotay hain.
106- پرانی محبت کے جذبات بھی کبھی کبھار دماغ میں تازہ ہو سکتے ہیں. بعض دفعہ ایک پرانا پیار دماغ میں ایسا اثر چھوڑتا ہے جو زندگی بھر برقرار رہتا ہے اور انسان کو پھر کسی اور سے محبت نہیں ہو پاتی.
Purani mohabbat ke jazbaat bhi kabhi kabhaar dimaagh mein taaza ho saktay hain. Baaz dafa aik purana pyaar dimaagh mein aisa asar chhorta hai jo zindagi bhar barqarar rehta hai aur insaan ko phir kisi aur se mohabbat nahi ho paati.
107- محبت میں مبتلا افراد اکثر اپنی محبت کو بچانے کے لیے خطرات مول لینے کے لیے تیار ہوتے ہیں، چاہے وہ جذباتی ہوں یا جسمانی.
Mohabbat mein mubtala afraad aksar apni mohabbat ko bachanay ke liye khatraat mol lainay ke liye tayyar hotay hain, chahay woh jazbati hon ya jismani.
108- محبت کرنے والے افراد کا دماغ اکثر ایک خاص شخص پر زیادہ مرکوز ہو جاتا ہے، اور یہ ارتکاز ان کی روزمرہ کی زندگی کو متاثر کر سکتا ہے.
Mohabbat karne walay afraad ka dimaagh aksar aik khaas shakhs par zyada markooz ho jata hai, aur yeh irtikaaz un ki rozmarrah ki zindagi ko mutasir kar sakta hai.
109- محبت کے تعلق میں اعتماد انتہائی اہم ہوتا ہے. محبت میں اعتماد کی کمی بہت سے مسائل پیدا کر سکتی ہے، جس سے دو لوگوں کے درمیان تعلق کمزور ہو جاتا ہے.
Mohabbat ke talluq mein aitimaad intehai aham hota hai. Mohabbat mein aitimaad ki kami bahot say masail paida kar sakti hai, jis se do logon ke darmiyan talluq kamzor ho jata hai.
110- محبت کو وقت دینا ضروری ہے. نفسیات کے مطابق محبت کے جذبات کو پرورش دینے اور تعلقات کو مضبوط کرنے کے لیے محبوب کو وقت اور توانائی کی ضرورت ہوتی ہے.
Mohabbat ko waqt dena zaroori hai. Nafsiyaat ke mutabiq mohabbat ke jazbaat ko parwarish dene aur talluqaat ko mazboot karne ke liye mehboob ko waqt aur tawanai ki zaroorat hoti hai.
111- سچی محبت غیر مشروط ہوتی ہے اور اس میں کوئی توقعات یا مطالبات نہیں ہوتے. ایسی محبت میں فرد صرف اپنے محبوب کی خوشی چاہتا ہے، چاہے اسے بدلے میں کچھ نہ ملے.
Sachi mohabbat ghair mashroot hoti hai aur is mein koi tawaqquaat ya mutalibaat nahi hotay. Aisi mohabbat mein fard sirf apne mehboob ki khushi chahta hai, chahay usay badlay mein kuch na mile.
112- جب کوئی شخص محبت میں مبتلا ہوتا ہے، تو دماغ میں کچھ ہارمونز کا اخراج ہوتا ہے جو انسان میں خوشی، قربت اور سکون کا احساس بڑھاتے ہیں.
Jab koi shakhs mohabbat mein mubtala hota hai, to dimaagh mein kuch hormones ka ikhraj hota hai jo insaan mein khushi, qurbat aur sukoon ka ehsas barhate hain.
113- نفسیات کے مطابق پہلی نظر میں محبت ایک حقیقت ہے اور یہ فیصلہ دماغ میں صرف چند سیکنڈز کے اندر ہو سکتا ہے کہ ہمیں کسی شخص سے محبت ہو گئی ہے یا نہیں.
Nafsiyaat ke mutabiq pehli nazar mein mohabbat aik haqeeqat hai aur yeh faisla dimaagh mein sirf chand seconds ke andar ho sakta hai ke humein kisi shakhs se mohabbat ho gayi hai ya nahi.
114- محبت کرنے والے افراد جسمانی درد کو زیادہ آسانی سے برداشت کر سکتے ہیں. تحقیق سے پتہ چلتا ہے کہ محبوب کی موجودگی میں درد کی شدت کم محسوس ہوتی ہے.
Mohabbat karne walay afraad jismani dard ko zyada aasani se bardasht kar saktay hain. Tehqeeq se pata chalta hai ke mehboob ki mojoodgi mein dard ki shiddat kam mehsoos hoti hai.
115- محبت کی ابتدائی شدت کچھ وقت کے بعد کم ہو سکتی ہے کیونکہ گہری محبت کا تعلق دماغ کے ان حصوں سے ہوتا ہے جو آرام اور اعتماد کو فروغ دیتے ہیں، جس سے طویل المدتی تعلقات مضبوط ہوتے ہیں.
Mohabbat ki ibtidayi shiddat kuch waqt ke baad kam ho sakti hai kyunke gehri mohabbat ka talluq dimaagh ke un hison se hota hai jo aaraam aur aitimaad ko farogh dete hain, jis se taweel-al-muddat talluqaat mazboot hotay hain.
116- محبت میں مبتلا افراد بعض اوقات اپنی محبت کی خاطر ایسی حرکات کرتے ہیں جو عام حالات میں نہیں کرتے، جیسے غیر ضروری خطرات مول لینا یا اپنی روٹین کے کاموں کو چھوڑ دینا.
Mohabbat mein mubtala afraad baaz auqaat apni mohabbat ki khatir aisi harkaat karte hain jo aam halaat mein nahi karte, jaisay ghair zaroori khatraat mol lena ya apni routine ke kaamon ko chhor dena.
117- محبت کرنے اور محبت ملنے سے انسان کی خود اعتمادی میں اضافہ ہوتا ہے. محبت کرنے والے افراد زیادہ پر اعتماد، خوش اور زندگی کو بامقصد محسوس کرتے ہیں.
Mohabbat karne aur mohabbat milne se insaan ki khud aitimaadi mein izafa hota hai. Mohabbat karne wale afraad zyada pur-aitimaad, khush aur zindagi ko ba-maqsad mehsoos karte hain.
118- محبت میں ہونے والے جذباتی اتار چڑھاؤ دماغ میں تناؤ پیدا کر سکتے ہیں، خاص طور پر جب تعلقات میں مسائل ہوں. تاہم کامیاب محبت بھری زندگی ذہنی دباؤ کو کم کرنے میں مددگار ثابت ہو سکتی ہے.
Mohabbat mein honay walay jazbaati utaar chadhao dimaagh mein tanaao paida kar saktay hain, khaas tor par jab talluqaat mein masail hon. Taham kamyab mohabbat bhari zindagi zehni dabao ko kam karne mein madadgaar sabit ho sakti hai.
119- محبت دو انسانوں کے درمیان عارضی جسمانی تعلق نہیں ہوتا بلکہ روح کا تعلق ہوتا ہے.
Mohabbat do insaano ke darmiyan aarzi jismani talluq nahi hota balkay rooh ka talluq hota hai.
120- اکثر دو انسانوں کے درمیان پیدا ہونے والی کشش یہ طے کر دیتی ہے کہ وہ ایک دوسرے کے ساتھ چلیں گے یا نہیں.
Aksar do insaano ke darmiyan paida honay wali kashish yeh tay kar deti hai ke woh aik dosray ke sath chalain ge ya nahi.
Watch Video
Read Also
50 Best Aurat Quotes In Urdu | Amazing Women Quotes
40 Best Beauty Quotes In Urdu – خوبصورت اقوال زریں