...

Best New Mushtaq Ahmed Yousufi Funny Quotes In Urdu

Introduction

Best new mushtaq ahmed yousufi quotes are presented here. Mushtaq ahmed yousufi is a great urdu humorist and satirist. His famous funny urdu quotes are collected from his books. Here we are going to share best mushtaq ahmad yusufi quotes in urdu regarding food, diseases and medicine. These aqwal e zareen will give you smile and laughter.

مشتاق احمد یوسفی 4 ستمبر 1923 میں ٹونک راجستھان، انڈیا میں پیدا ہوئے اور ان کی وفات 20 جون 2018 کو پاکستان میں ہوئی. مشتاق یوسفی اردو ادب کے بہترین طنز و مزاح نگار تھے. اس بلاگ میں مشتاق احمد یوسفی کے خوراک، بیماری اور دوا کے موضوع پر شاندار مزاحیہ اردو اقوال پیش کیے جا رہے ہیں.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

مشتاق احمد یوسفی کی مزاح نگاری

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

بیمار کو مشورہ دینا ہر تندرست آدمی اپنا خوشگوار فرض سمجھتا ہے اور انصاف کی بات یہ ہے کہ ہمارے ہاں 99 فیصد لوگ ایک دوسرے کو مشورے کے علاوہ اور دے بھی کیا سکتے ہیں

Bemaar ko mahswara dena har tandrost aadmi apna Khushgawar farz samjhta hai aur insaaf ki baat yeh hai ke hamaray haan 99 feesad log aik dosray ko mashwaray ke ilawa aur day bhi kya satke hain.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

میں دماغی صحت کیلئے یہ ضروری سمجھتا ہوں کہ انسان کو پابندی سے صحیح غذا اور غلط مشورہ ملتا رہے. اسی سے ذہنی توازن قائم رہتا ہے

Mein dimaghi sehat ke liye yeh zaroori samjhta hon ke insaan ko pabandi se sahih ghiza aur ghalat mahswara milta rahay. Isi se zehni tawazun qaim rehta hai.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

میں ہر کافی پینے والے کو جنتی سمجھتا ہوں میرا عقیدہ ہے کہ جو لوگ عمر بھر ہنسی خوشی یہ عذاب جھیلتے رہے، ان پر دوزخ اور حمیم حرام ہیں

Mein har kaafi peenay walay ko janati samjhta hon mera aqeedah hai ke jo log Umar bhar hansi khushi yeh azaab jheltay rahay, un par dozakh aur hameem haraam hain

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

پہلی نظر میں جو محبت ہو جاتی ہے اس میں بالعموم نیت کا فتور کارفرما ہوتا ہے. لیکن کھانے پینے کے معاملے میں میرا یہ نظریہ ہے کہ پہلا ہی لقمہ یا گھونٹ فیصلہ کن ہوتا ہے

Pehli nazar mein jo mohabbat ho jati hai us mein bil umoom niyat ka futoor karfrma hota hai. Lekin khanay peenay ke muamlay mein mera yeh nazriya hai ke pehla hi luqmah ya ghoont faisla kun hota hai.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

بد ذائقہ کھانا پکانے کا ہنر صرف تعلیم یافتہ بیگمات کو آتا ہے لیکن ہم اعدادوشمار سے ثابت کر سکتے ہیں کہ پیشہ ور خانساماں بھی کسی سے پیچھے نہیں

Bad zayega khana pakanay ka hunar sirf taleem Yafta bigmat ko aata hai lekin hum adad o shumaar se saabit kar satke hain ke pesha war khansama bhi kisi se peechay nahi.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

وضع دار طبقے کے افراد باورچی نوکر رکھنے کے بجائے نکاح ثانی کر لیتے ہیں اس لیے کہ گیا گزرا باورچی بھی روٹی کپڑا اور تنخواہ مانگتا ہے جبکہ منکوحہ فقط روٹی کپڑے پر ہی راضی ہو جاتی ہے بلکہ اکثر و بیشتر کھانے اور پکانے کے برتن بھی ساتھ لاتی ہے

Waza daar tabqay ke afraad bawarchi nokar rakhnay ke bajaye nikah e sani kar letay hain is liye ke gaya guzra bawarchi bhi roti kapra aur thankhowa mangta hai jabkay mankoha faqat roti kapray par hi raazi ho jati hai balkay aksar o beshtar khanay aur pakanay ke bartan bhi sath laati hai.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

دوزخ میں گنہگار عورتوں کو ان کے اپنے پکائے ہوئے سالن زبردستی کھلائے جائیں گے اسی طرح ریڈیو والوں کو فرشتے آتش گرز مار مار کر بار بار انہی کے نشر کیے گئے پروگراموں کے ریکارڈ سنائیں گے

Dozakh mein gunehgaar aurton ko un ke apne pakaye hue saalan zabardasti khilaye jayen ge isi terha radio walon ko farishtay aatish gurz maar maar kar baar baar unhi ke Nashar kiye gaye programon ke record sunaein ge.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

جس طرح بعض خوش اعتقاد لوگوں کا ابھی تک یہ خیال ہے کہ ہر بدصورت عورت نیک چلن ہوتی ہے اسی طرح طب قدیم میں ہر کڑوی چیز کو مصفی خون تصور کیا جاتا ہے

Jis terha baaz khush aitqaad logon ka abhi tak yeh khayaal hai ke har badsoorat aurat naik chalan hoti hai isi terha tib e qadeem mein har karvi cheez ko masfi e khoon tasawwur kya jata hai.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

بات یہ ہے کہ گھریلو بجٹ کے جن مسائل پر میں سگرٹ پی پی کر غور کیا کرتا تھا، وہ در اصل پیدا ہی کثرتِ سگرٹ نوشی سے ہوئے تھے

Baat yeh hai ke gharelo budget ke jin masail par mein cigarette pi pi kar ghaur kya karta tha, woh dar asal peda hi kasrat e cigarette noshi se hue thay.

Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes
Mushtaq Ahmed Yousufi Quotes

یاد رکھو، ہر وہ جانور جسے مسلمان کھا سکتے ہیں، پاک ہے

Yaad rakho, har woh janwar jisay musalman kha satke hain, pak hai.

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.