Mushtaq Ahmed Yousufi Funny Quotes
عمر طبیعی تک تو صرف کوے، کچھوے، گدھے اور وہ جانور پہنچتے ہیں جن کا کھانا شرعاً حرام ہے
Umar e tabai tak to sirf kaway, kachway, gadhay aur woh janwar pahunchte hain jin ka khana sharran haraam hai.
بڑھیا سگرٹ پیتے ہی ہر شخص کو معاف کر دینے کو جی چاہتا ہے. خواہ وہ رشتے دار ہی کیوں نہ ہو
Budiya cigarette peetay hi har shakhs ko maaf kar dainay ko jee chahta hai. Khuwa woh rishte daar hi kyun nah hon.
کسی اچھے بھلے کام کو عیب سمجھ کر کیا جائے تو اس میں لذت پیدا ہو جاتی ہے۔ یورپ اس گر کو ابھی تک نہیں سمجھ پایا۔ وہاں شراب نوشی عیب نہیں۔ اسی لیے اس میں وہ لطف نہیں آتا
Kisi achay bhallay kaam ko aib samajh kar kya jaye to is mein lazzat peda ho jati hai. Europe is gur ko abhi tak nahi samajh paaya. Wahan sharaab noshi aib nahi isi liye is mein woh lutf nahi aata.
دنیا کا سب سے مہنگا سگریٹ آپ کا پہلا سگریٹ ہوتا ہے، بعد میں سب سستا ہو جاتا ہے یہاں تک کہ پینے والا بھی
Duniya ka sab se mehanga cigarettes aap ka pehla cigarette hota hai, baad mein sab sasta ho jata hai yahan tak ke peenay wala bhi.
انگریزوں کے متعلق یہ مشہور ہے کہ وہ طبعاً کم گو واقع ہوئے ہیں. میرا خیال ہے کہ وہ فقط کھانے اور دانت اکھڑوانے کے لیے منہ کھولتے ہیں
Angraizon ke mutaliq yeh mashhoor hai ke woh tbaan kamgo waqiya hue hain. Mera khayaal hai ke woh faqat khanay aur daant ukharwany ke liye monh kholtey hain.
بھٹے، مرغی کی ٹانگ، پیاز اور گنے پر جب تک دانت نہ لگے، رس پیدا نہیں ہوتا
Bhutay, murghi ki taang, piyaaz aur gannay par jab tak daant nah lagey, ras peda nahi hota.
ہومیو پیتھی کا بنیادی اصول یہ ہے کہ چھوٹا مرض دور کرنے کے لیے کوئی بڑا مرض کھڑا کردو۔ چنانچے مریض نزلے کی شکایت کرے تو دوا سے نمونیہ کے اسباب پیدا کر دو۔ پھر مریض نزلے کی شکایت نہیں کرے گا۔ ہومیو پیتھی کی کرے گا
Homeopathy ka bunyadi usool yeh hai ke chhota marz door karne ke liye koi bara marz khara kardo. Chunanchy mareez nazlay ki shikayat karay to dawa se namonia ke asbaab peda kar do. Phir mareez nazlay ki shikayat nahi kere ga. homeopathy ki kere ga.
اس روحانی اذیت کا کوئی علاج نہیں جو عیادت کرنے والوں سے مسلسل پہنچتی رہتی ہے، میں تو ان لوگوں میں سے ہوں جو محض عیادت کے خوف سے تندرست رہنا چاہتے ہیں
Us Rohani aziat ka koi ilaaj nahi jo ayadat karne walon se musalsal pahunchti rehti hai, mein to un logon mein se hon jo mehez ayadat ke khauf se tandrost rehna chahtay hain.
شائستہ آدمی کی یہ پہچان ہے کہ اگر آپ اس سے کہیں کہ مجھے فلاں بیماری ہے تو وہ کوئی آزمودہ دوا نہ بتائے
Shaista aadmi ki yeh pehchan hai ke agar aap is se kahin ke mujhe falan bemari hai to woh koi azmooda dawa nah betaye.
گنجان کاروباری شہر میں مچھلی اور مہمان پہلے ہی دن بدبو دینے لگتے ہیں
Ghunjaan karobari shehar mein machhli aur maheman pehlay hi din badboo dainay lagtay hain.
Conclusion
In summary, Mushtaq Ahmed Yousufi’s quotes encapsulate a blend of wit, wisdom, and literary finesse that continues to captivate readers. His aqwal e zareen navigate the realms of humor, introspection, and human experience, leaving an indelible mark on Urdu literature.
Also Read
20 Amazing Manto Quotes In Urdu
30 Amazing Bano Qudsia Quotes In Urdu