...

25 Best Mustansar Hussain Tarar Quotes

  1. یہ جو ذات پات کے بکھیڑے ہیں یہ بھی حضرت انسان نے اپنے آپ کو دوسروں سے برتر ثابت کرنے کے لیے تخلیق کئے ہیں.

Ye jo zaat paat ke bakhairay hain, ye bhi hazrat e insaan ne apne aap ko doosron se bartar sabit karne ke liye takhleeq kiye hain.

  1. زندگی اور خربوزے میں ایک قدر مشترک ہے کہ اگر یہ پھیکی بھی نکل آئے تو پھینکی نہیں جا سکتی.

Zindagi aur khurbuzay main aik qadr mushtarik hai ke agar ye pheeki bhi nikal aaye to phainki nahi jaa sakti.

Mustansar Hussain Tarar Quotes
Mustansar Hussain Tarar Quotes
  1. خالی ڈگری تو ایک ایسا بے مراد سا کاغذ ہے جو صرف ہلدی اور نمک کے باندھنے کے کام ہی آسکتا ہے جب تک اُسے رشوت، مکر، جھوٹ اور خوشامد کے پر لگا کر بے ضمیری کی پھونکیں نہ ماری جائیں، یہ کاغذ نہیں اُڑتا.

Khali degree to aik aisa bay muraad sa kaghaz hai jo sirf haldi aur namak ke bandhne ke kaam hi aasakta hai jab tak use rishwat, makar, jhoot aur khushamd ke par laga kar be zameeri ki phoonkain na maari jayen, ye kaghaz nahi urta.

Read More 30 Inspiring Ashfaq Ahmed Quotes

  1. دنیا میں تمام دوست احباب سب مطلب کے ہیں اگر آپ انہیں کچھ دے سکتے ہیں تو وہ آپ کے ساتھ ہیں ورنہ نہیں

Duniya main tamam dost ahbab sab matlab ke hain agar aap unhein kuch de sakte hain to woh aap ke sath hain warna nahi.

Mustansar Hussain Tarar Quotes In Urdu

Mustansar Hussain Tarar Quotes
Mustansar Hussain Tarar Quotes
  1. عزت نفس کے علاوہ محبت بھی ایک ایسا جذبہ ہے جس کے مجروح کر دیے جانے پر انسان اپنے آپ کو حقیر جاننے لگتا ہے.

Izzat e nafs ke ilawa muhabbat bhi aik aisa jazbah hai jis ke majrooh kardiyay jaane par insaan apne aap ko haqeer janane lagta hai.

  1. قبریں تب معدوم ہوتی ہیں جب عید، بقر عید یا محرم کے ایام میں کوئی ان پر مٹی ڈالنے، چھڑکاؤ کرنے یا گلاب کی پتیاں ڈالنے نہ آئے.

Qabrain tab madoom hoti hain jab eid, baqar eid ya muharram ke ayaam main koi in par matti daalne, chharkao karny ya gulaab ki pattian daalne nah aaye.

  1. ایک فضول سی آسائش آپ کو کیسے پُر تکبر اور احمق کر دیتی ہے.

Aik fazool si asaish aap ko kaise pur-takabbur aur ahmaq kar daiti hai.

Mustansar Hussain Tarar Quotes
Mustansar Hussain Tarar Quotes
  1. علامہ اقبال جب کبھی ہیرا منڈی سے گزرتے تو ہمیشہ ایک نہایت ہی معمولی شکل کی خاتون کے پاس ٹھہر کر اس سے کچھ کلام کرتے اور فرماتے کہ اس خاتون کے پاس کوئی نہیں ٹھہرتا صرف اس لیے میں ٹھہر جاتا ہوں.

Allama Iqbal jab kabhi Hera Mandi se guzarte to hamesha aik nihayat hi maamoli shakal ki khatoon ky paas thahar kar us sy kuch kalam karty aur farmatay keh is khatoon ky pass koi nahin thahrta sirf is liye mein thahar jata hon.

  1. ہیرا منڈی کی برائی دنیا کا قدیم ترین کاروبار ایک آکاس بیل کی مانند ہوتا ہے کہ آپ اسے ادھر سے کاٹتے ہیں تو وہ بیل کسی اور مقام پر نمودار ہونے لگتی ہے.

Hera Mandi ki burai duniya ka qadeem tareen karobar aik akass bail ki manind hota hai ke aap use yahan se kaatte hain to woh bail kisi aur maqam par namoodar hone lagti hai.

  1. بہنیں اپنے بھائیوں کو ان کی سالگرہ کے موقع پر میری کتاب “الو ہمارے بھائی ہیں” تحفے کے طور پر دیتی ہیں جب کہ بھائی اپنے بھائیوں کو ڈرتے ڈرتے “گدھے ہمارے بھائی ہیں”، پیش کرتے ہیں.

Bahanain apne bhaion ko in ki saalgirah ke maoqa par meri kitaab “Ullo Hamare Bhai Hain” tohfe ke tor par deti hain jab ke bhai apne bhaion ko darte darte “Gadhay Hamare Bhai Hain”, paish karte hain.

Mustansar Hussain Tarar Quotes
Mustansar Hussain Tarar Quotes
  1. کیا آپ نے کبھی سفید برفانی الو دیکھا ہے۔ سبحان اللہ کیا آنکھیں ہیں اور کیسی متنانت بھری شکل ہے۔ کسی بھی لیڈر سے موازنہ کر لیں برفانی الو کے نمبر زیادہ ہوں گے.

Kya aap ne kabhi safaid barfani Ullo dekha hai? Subhan Allah kya aankhein hain aur kaisi matnanat bhari shakl hai. Kisi bhi leader se muqabala kar lein barfani ullo ke number zyada honge.

Also Watch

85 Best Mustansar Hussain Tarar Quotes In Urdu

Also Read

20 Amazing Manto Quotes In Urdu

50 Best Quotes In Urdu | Urdu Quotes | Plato Quotes

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.