...

45 Powerful Saadat Manto Quotes That Will Make You Think

Introduction

In this blog of saadat hasan manto quotes we will reveal the Manto’s thoughts about men and women. Best quotes by saadat hasan manto are presented here. Discover the wisdom of Saadat Hasan Manto through his thought-provoking quotes in Urdu. Explore the depth of human emotions and the complexity of society through his words. Read Manto’s quotes to gain a unique perspective on life.

سعادت حسن منٹو کے بہترین اقوال

اردو ادب کے ممتاز افسانہ نگار سعادت حسن منٹو کے منتخب اور مشہور اقوال کا یہ مجموعہ آپ کو ضرور پسند آئے گا. یہ منٹو کے وہ منتخب اقوال ہیں جو معاشرے، انسان، مرد اور عورت کے رشتے اور نام نہاد سماجی اور تہذیبی اقدار کے بارے میں غور و فکر کی دعوت دیتے ہیں

Saadat Hasan Manto Quotes

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

سو میں سے ننانوے معاشقے نہایت ہی بھونڈے، لچر اور بے ہودہ طریقوں سے عمل میں آتے ہیں. ایک باقی رہ جاتا ہے اس میں آپ اپنی شاعری رکھ لیجیے یا اپنی ذہانت اور ذکاوت بھر دیجیے
سعادت حسن منٹو


Sau mein sy ninanway muashqay nihayat hi bhonday, lachar aur be hooda tareeqon se amal mein atay hain. Aik baqi reh jata hai us mein aap apni shairi rakh lijiye ya apni zahanat aur zakawat bhar dijiye.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

لڑکوں اور لڑکیوں کے وہی رومان کامیاب ہوتے ہیں جو شریفانہ خطوط پر شروع ہوں.
سعادت حسن منٹو

Larkoon aur larkiyon ke wohi Roman kamyaab hotay hain jo sharefana khutoot par shuru hon.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

عورت سے عشق لڑانے سے پہلے تمام پہلو سوچ کر ایک اسکیم بنانے کی کیا ضرورت ہے. عشق مکان بنانا نہیں جو آپ کو پہلے نقشہ بنوانا پڑے. ایک لڑکی یا عورت اچانک آپ کے سامنے آتی ہے. آپ کے دل میں کچھ گڑبڑ سی ہوتی ہے۔ پھر یہ خواہش پیدا ہوتی ہے کہ وہ ساتھ لیٹی ہو. یہ ایک حیوانی طلب ہے جسے پورا کرنے کے لیے حیوانی طریقے ہی استعمال کرنے چاہیں.
سعادت حسن منٹو

Aurat sy ishq larany sy pahly tumam pahlo soch kr aik scheme banany ki kiya zaroorat hai. Ishhq makaan banana nahi jo aap ko pehlay naqsha banwana parre. aik larki ya aurat achanak aap ke samnay aati hai, aap ke dil mein kuch garbar si hoti hai, phir yeh khwahish peda hoti hai ke woh sath laitee ho. Yeh aik hewani talabb hai jisay poora karne ke liye hewani tareeqay hi istemaal karne chahain.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

جب ایک کتا کتیا سے عشق لڑانا چاہتا ہے تو وہ بیٹھ کر اسکیم تیار نہیں کرتا اسی طرح سانڈ جب لو سونگھ کر گائے کے پاس جاتا ہے تو اسے بدن پر عطر لگانا نہیں پڑتا۔ بنیادی طور پر ہم سب حیوان ہیں. اس لیے عشق و محبت میں جو دنیا کی سب سے پرانی طلب ہے انسانیت کا زیادہ دخل نہیں ہونا چاہیے
سعادت حسن منٹو

jab aik kutta kutia se ishhq ladana chahta hai to woh baith kar scheme tayyar nahi karta isi terha saand jab lo sungh kar gaaye ke paas jata hai to usay badan par itar lagana nahi parta, bunyadi tor par hum sab hewan hain. Is liye ishhq o mohabbat mein jo duniya ki sab se purani talabb hai insaaniyat ka ziyada dakhal nahi hona chahiye.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

مرد جب عورت کے متعلق سوچتا ہے تو اور سب کچھ بھول جاتا ہے. وہ چاہتا ہے کہ عورت کو عورت نہ سمجھے. عورت کو محض عورت سمجھنے سے اس کے جذبات کو ٹھیس پہنچتی ہے چنانچہ وہ چاہتا ہے کہ اسے خوبصورت سے خوبصورت روپ میں دیکھے.
سعادت حسن منٹو

Mard jab aurat ke mutaliq sochta hai to aur sab kuch bhool jata hai, woh chahta hai ke aurat ko aurat nah samjhay, aurat ko mehez aurat samajhney se is ke jazbaat ko thais pahunchti hai chunancha woh chahta hai ke usay khobsorat se khobsorat roop mein dekhe.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

ایک بہت بے رحم قسم کا شاعر مرغی پکڑے گا تو زبح کرنے کی بجائے اس کی گردن مروڑے گا. گردن مروڑ کر اس کے پر نوچے گا. پر نوچنے کے بعد اس کی یخنی نکالے گا. یخنی پی کر اور ہڈیاں چبا کر وہ بڑے آرام اور سکون سے ایک کونے میں بیٹھ کر اس مرغی کی موت پر ایک نظم لکھے گا جو اس کے آنسوؤں میں بھیگی ہوگی.
سعادت حسن منٹو

Aik bohat be reham qisam ka shayar murghi pakray ga to zibah karne ki bajaye us ki gardan maroray ga, gardan maror kar is ke par noche ga, par nochnay ke baad is ki yakhni nikalay ga, yakhni pi kar aur haddiyan chaba kar woh barray aaraam aur sukoon se aik konay mein baith kar us murghi ki mout par aik nazam likhay ga jo us ke aanso-on mein bheegi hogi.
Saadat Hasan Manto

Read More 20 Amazing Manto Quotes In Urdu

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

اکثر اوقات بیماریاں انسان کی جزو بدن ہو جاتی ہیں۔ جب انہیں زخم تکلیف نہیں دیتا تو علاج کی کیا ضرورت ہے.
سعادت حسن منٹو

Aksar auqaat bemariyan insaan ki juzv e badan ho jati hain, jab inhen zakham takleef nahi deta to ilaaj ki kya zaroorat hai.
Saadat Hasan Manto

Manto Quotes In Urdu

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

جو عورت ایک بالکل اجنبی آدمی کو اپنی انگیا کا صحیح سائز بتا دے، دھوکے باز ہر گز نہیں ہو سکتی.
سعادت حسن منٹو

Jo aurat aik bilkul ajnabi aadmi ko apni angiyaa ka sahih size bta day, dhokay baz har giz nahi ho sakti.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

آرٹسٹ اول درجے کے بے وقوف ہوتے ہیں۔ مجھے بہت ترس آتا ہے ان پر کم بختوں کی بے وقوفی میں بھی خلوص ہوتا ہے۔ دنیا بھر کے مسئلے حل کر دیں گے پر جب کسی عورت سے مڈ بھیڑ ہو گی تو جناب ایسے چکر میں پھنس جائیں گے کہ ایک گز دور کھڑی عورت تک پہنچنے کے لیے پشاور کا ٹکٹ لیں گے اور وہاں پہنچ کر سوچیں گے وہ عورت آنکھوں سے اوجھل کیسے ہو گئی.
سعادت حسن منٹو

Artist awwal darjay ke be waqoof hotay hain. Mujhe bohat taras aata hai un par kam bakhton ki be waqoofi mein bhi khuloos hota hai. Duniya bhar ke maslay hal kar den ge par jab kisi aurat se mud bhair ho gi to janab aisay chakkar mein phas jayen ge ke aik gaz daur khari aurat tak pounchanay ke liye Peshawar ka ticket len ge aur wahan pahonch kar sochen ge woh aurat aankhon se oojhal kaisay ho gayi.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

میرا مشاہدہ ہے جو آدمی پرخلوص ہوں ہنستے ہوئے ان کی آنکھوں میں آنسو ضرور آجاتے ہیں.
سعادت حسن منٹو

Mera mushahida hai jo aadmi purkhuloos hon hanstay hue un ki aankhon mein ansoo zaroor aajate hain.
Saadat Hasan Manto

 Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

دنیا میں دو قسم کے انسان ہیں۔ ایک قسم ان انسانوں کی ہے جو اپنے زخموں سے درد کا اندازہ کرتے ہیں۔ دوسری قسم ان کی ہے جو دوسروں کے زخم دیکھ کر درد کا اندازہ کرتے ہیں.
سعادت حسن منٹو

Duniya mein do qisam ke insaan hain. Aik qisam un insanon ki hai jo apne zakhmon se dard ka andaza karte hain, doosri qisam un ki hai jo doosron ke zakham dekh kar dard ka andaza karte hain.
Saadat Hasan Manto

Manto Quotes In Urdu About Women

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

اس میں شک نہیں کہ عورت کی بے بسی سے مرد ناجائز فائدہ اٹھا جاتے ہیں مگر عورت کی بے بسی نظر نہیں آتی اس لیے کہ وہ مرد کی پہنچ سے بہت دور رہتی ہے. اس کے خیالات و محسوسات سے چونکہ مرد غافل ہیں اس لئے انہیں عورت اونچے درخت کی ٹہنیوں سے الجھی ہوئی پتنگ دکھائی دیتی ہے جس پر کنکر مارنے کا خیال خوہا مخواہ دل میں پیدا ہو جاتا ہے.
سعادت حسن منٹو

is mein shak nahi ke aurat ki be basi se mard najaaiz faida utha jatay hain magar aurat ki be basi nazar nahi aati is liye ke woh mard ki pahonch se bohat door rehti hai. Us ke khayalat o mehsosaat se chunkay mard ghaafil hain is liye inhen aurat ounchay darakht ki tehnion se uljhi hui patang dikhai deti hai jis par kanker maarny ka khayaal khawah makhuwa dil mein peda ho jata hai.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

ہندی کے حق میں ہندو کیوں اپنا وقت ضائع کرتے ہیں مسلمان اردو کے تحفظ کے لئے کیوں بے قرار ہیں زبان بنائی نہیں جاتی خود بنتی ہے اور نہ ہی انسانی کوششیں کسی زبان کو فنا کر سکتی ہے.
سعادت حسن منٹو

Hindi ke haq mein Hindu kyun apna waqt zaya karte hain Musalman urdu ke tahaffuz ke liye kyun be qarar hain zabaan banai nahi jati khud banti hai aur nah hi insani koshishen kisi zabaan ko fanaa kar sakti hai.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

اگر یہ ہوتا تو کیا ہوتا اور اگر یہ نہ ہوتا تو کیا ہوتا اور اگر کچھ بھی نہ ہوتا تو پھر کیا ہوتا ظاہر ہے کہ ان خطوط پر ہم جتنا سوچیں گے، الجھاؤ پیدا ہوتے جائیں گے.
سعادت حسن منٹو

Agar yeh hota to kya hota aur agar yeh nah hota to kya hota aur agar kuch bhi nah hota to phir kya hota zahir hai ke in khutoot par hum jitna sochen ge, uljhao peda hotay jayen ge.
Saadat Hasan Manto

Saadat Hasan Manto Quotes
Saadat Hasan Manto Quotes

عشق میں کسی کو وکیل نہیں بنانا چاہیے اگر اس سے لڑائی ہوگئی تو وہ سارا بھید کھول دے گا
سعادت حسن منٹو

Ishhq mein kisi ko wakeel nahi banana chahiye agar is se larai hogayi to woh sara bhaid khol day ga.
Saadat Hasan Manto

16- زندگی میں ہمیشہ خوشی کے لمحات کم اور غم کے لمحات زیادہ ہوتے ہیں.

Zindagi mein hamesha khushi ke lamhat kam aur gham ke lamhat zyada hote hain.

17- میں نے ہمیشہ وہی لکھا ہے جو مجھے محسوس ہوا ہے، میں نے کبھی جھوٹ نہیں بولا.

Maine hamesha wahi likha hai jo mujhe mehsoos hua hai, maine kabhi jhoot nahi bola.

Saadat Manto Quotes

18- گناہ اور ثواب کے بارے میں میرا عقیدہ یہ ہے کہ یہ دونوں انسان کی ایجاد ہیں.

Gunah aur sawab ke bare mein mera aqeeda yeh hai ke yeh dono insaan ki ijad hain.

19- درد مند انسان دوسروں کو کبھی اذیت نہیں دے سکتا.

Dard mand insaan doosron ko kabhi aziyat nahi de sakta.

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.