...

20 Best Saadat Hasan Manto Quotes In Urdu About Politics

Duniya mein jahan ahal e dard aur insaaniyat dost insaan hain wahan aisay bhi hain jin ka beshtar waqt talwaron aur churron ki daharen taiz karne mein guzarta hai aur jo har waqt aisay mauqa ki talaash mein rehtay hain ke woh apne taiz kiye hue hathyaar logon ke haath mein day kar khoon raizi ka samaa dekhen aur phir khoon ke is talaab se apni hiras aur apne mafaad ki pyaas bujhayen.

یہ لوگ لیڈر ہیں. ملک و قوم کے نام نہاد رہنما. بلی کے پنجے اوپر سے دیکھو تو نرم نرم روئیں اور اندر اندر تیز ناخن. ان سیاسی رہنماؤں کی تقریریں سنیں تو یہ معلوم ہوتا ہے کہ تمام دنیا کا درد سمٹ کر ان کے سینوں میں جمع ہو گیا ہے اور جب ان کے اندر جھانک کر دیکھا جائے تو حقیقت روز روشن کی طرح عیاں ہو جاتی ہے. ان کا ایمان و ایقان، ان کا جذبہ خدمت، مذہب و ملت، ان کی طہارت، ان کی بلند بانگ وعظ اور ان کے درد سب کچھ اصلی روپ میں نظر آجاتا ہے، اور حیرت ہوتی ہے کہ دنیا کے دامن پر اس قدر بد نماد دھبے بھی موجود ہیں.

Yeh log leader hain. mulk o qoum ke naam nihaad rehnuma. Billi ke panje oopar se dekho to naram naram royain aur andar andar taiz naakhun. In siyasi rehnumaon ki taqririn sunen to yeh maloom hota hai ke tamam duniya ka dard simat kar un ke seenon mein jama ho gaya hai aur jab un ke andar jhaank kar dekha jaye to haqeeqat roz e roshan ki terha ayaan ho jati hai. In ka imaan o Aiqan.

In ka jazba e khidmat, mazhab o millat, in ki taharat , in ki buland bangh waaz aur in ke dard sab kuch asli roop mein nazar ajata hai, aur herat hoti hai ke duniya ke daman par is qader badnuma dhabbay bhi maojood hain.

یہ لیڈر اصلی ہمدرد بن کر وطن کی گردنوں پر مرد تسمہ پا کی طرح سوار ہیں اس لیے ضرورت ہے کہ ان فساد پرور لیڈروں کا مقاطعہ کیا جائے اور ہر چہار اکناف سے ان پر لعنتیں برسائی جائیں. جو ہر کام پر نوجوانان وطن کی امیدوں اور ان کے ولولوں کا گلا گھونٹ رہے ہیں.

Yeh leader asli hamdard ban kar watan ki gardnon par mard tasma pa ki terha sawaar hain is liye zaroorat hai ke in fasaad parwar leadron ka mqatah kya jaye aur har chahar aknaaf se in par lantin bersaye jaiyen, jo har kaam par nojwanan e watan ki umedon aur un ke walvalon ka gala ghoont rahay hain.

مجھے شکایت ہے ان سرمایہ دار جہلاء سے جو روپے کا لالچ دے کر غریب اور افلاس زدہ ادیبوں سے ان کے افکار حاصل کرتے ہیں اور اپنے نام سے انہیں شائع کرتے ہیں.

Mujhe shikayat hai un sarmaya daar johla se jo rupay ka lalach day kar ghareeb aur iflaas zada adeebon se un ke afkaar haasil karte hain aur apne naam se inhen shaya karte hain.

Saadat Hasan Manto Quotes In Urdu About Subcontinent And Turk Muslims

ترکوں کو ہندی مسلمانوں سے کوئی دلچسپی نہ تھی، وہ ہم کو نہ تین میں سمجھتے تھے نہ تیرہ میں اس کا ہمیں کچھ کچھ پتہ تھا. لیکن ہمیں اُن سے محبت تھی کہ وہ ہمارے اسلامی بھائی تھے. ہم ایسے شریف النفس اور سادہ لوح ہیں کہ ہمیں آملے اور چنبیلی کے اُس تیل سے بھی محبت ہے جو یہاں اسلامی بھائیوں کا تیار کردہ ملتا ہے. اسکو ہم سر میں ڈالتے ہیں تو ایسا کیف آتا ہے کہ موجودہ جنت کی تمام لطافتیں اس کے سامنے مانند پڑ جاتی ہیں.

Turkoon ko Hindi Musalmanoon se koi dilchaspi nah thi, woh hum ko nah teen mein samajte thay nah terah mein is ka hamein kuch kuch pata tha, lekin hamein unn se mohabbat thi ke woh hamaray islami bhai thay. Hum aisay shareef un nafs aur saada looh hain ke hamein aamle aur chanbeli ke uss tail se bhi mohabbat hai jo yahan islami bhaiyon ka tayyar kardah milta hai. Usko hum sir mein daaltay hain to aisa kaif aata hai ke maojooda jannat ki tamam latafatein is ke samnay mannd par jati hain.

سب سے بڑی شکایت مجھے ان ادیبوں، شاعروں اور افسانہ نگاروں سے ہے جو اخباروں اور رسالوں میں بغیر معاوضے کے مضمون بھیجتے ہیں. وہ کیوں اس چیز کو پالتے ہیں جو ایک کھیل بھی ان کے منہ میں نہیں ڈالتی. وہ کیوں ایسا کام کرتے ہیں جس سے ان کو ذاتی فائدہ نہیں پہنچتا. وہ کیوں ان کاغذوں پر نقش و نگار بناتے ہیں جو ان کے لیے کفن کا کام بھی نہیں دے سکتے.

Sab se barri shikayat mujhe un adeebon, shayron aur afsana nigaron se hai jo akhbaron aur rasalon mein baghair muawzay ke mazmoon bhaijtay hain. woh kyun is cheez ko paltay hain jo aik khail bhi un ke mun mein nahi daalti. Woh kyun aisa kaam karte hain jis se un ko zaati faida nahi pohenchna. Woh kyun un kaaghzon par naqsh o nigaar banatay hain jo un ke liye kafan ka kaam bhi nahi day satke.

یہ لوگ جو اپنے گھروں میں نظام درست نہیں کر سکتے، یہ لوگ جن کا کریکٹر بے حد پست ہوتا ہے، سیاست کے میدان میں اپنے وطن کا نظام ٹھیک کرنے اور لوگوں کو اخلاقیات کا سبق دینے کے لیے نکلتے ہیں. کس قدر مضحکہ خیز چیز ہے.

Yeh log jo apne gharon mein nizaam durust nahi kar satke, yeh log jin ka character behad pust hota hai, siyasat ke maidan mein apne watan ka nizaam theek karne aur logon ko ikhlaqiaat ka sabaq dainay ke liye nikaltay hain, kis qader mazhaka khaiz cheez hai.

Saadat Hasan Manto Quotes In Urdu And Literary Views

مجھے ہر اس چیز سے شکایت ہے جو ہمارے قلم اور ہماری روزی کے درمیان حائل رہی.
مجھے اپنے ادب سے شکایت ہے جس کی کنجی صرف چند افراد کے ہاتھ میں دے دی گئی ہے. ادب کی کنجی پریس ہے جس پر چند ہوس پرست سرمایہ داروں کا قبضہ ہے. چند ایسے تاجروں کا قبضہ ہے جو ادب سے اتنے ہی دور ہیں جتنے کہ وہ تجارت کے نزدیک، مجھے اپنے ہم پیسہ ادیبوں سے شکایت ہے جو ان چند افراد کی ذاتی اغراض اپنے قلم سے پوری کرتے ہیں جو ان کے جائز اور ناجائز مطالبے پر اپنے دماغ کی قاشیں پیش کر دیتے ہیں. مجھے شکایت ہے، مجھے اپنے آپ سے بھی شکایت ہے.

Mujhe har us cheez se shikayat hai jo hamaray qalam aur hamari rozi ke darmiyan haail rahi.
Mujhe apne adab se shikayat hai jis ki kunji sirf chand afraad ke haath mein day di gayi hai. Adab ki kunji press hai jis par chand hawas parast sarmaya daaron ka qabza hai, chand aisay taajiron ka qabza hai jo adab se itnay hi door hain jitne ke woh tijarat ke nazdeek, mujhe apne hum paisa adeebon se shikayat hai jo un chand afraad ki zaati aghraaz apne qalam se poori karte hain, jo un ke jaaiz aur najaaiz mutalbe par apne dimagh ki qaashein paish kar dete hain. Mujhe shikayat hai, mujhe apne aap se bhi shikayat hai.

ہمارے ملک کو صرف ایک لیڈر کی ضرورت ہے جو حضرت عمر کا سا اخلاص رکھتا ہو، جس کے سینے میں اتاترک کا سپاہیانہ جذبہ ہو. جو برہنہ پا اور گرسنہ شکم آگے بڑھے اور وطن کے بے لگام گھوڑے کے منہ میں باگیں ڈال کر اسے آزادی کے میدان کی طرف مردانہ وار لیے جائے.

Hamaray mulk ko sirf aik leader ki zaroorat hai jo Hazrat Umar ka sa ikhlaas rakhta ho, jis ke seenay mein Ataturk ka spahiyanah jazba ho, jo burhena paa aur gursana shikam agay barhay aur watan ke be lagaam ghoray ke mun mein bagin daal kar usay azadi ke maidan ki taraf mardana waar liye jaye.

Conclusion

These are best Saadat Hasan Manto Quotes In Urdu About Politics. We hope you people enjoyed these urdu quotes. As we conclude this journey through the profound Saadat Hasan Manto Quotes in Urdu, it’s evident that his words transcend time and culture. Manto’s ability to encapsulate the complexities of human existence in a few sentences is both mesmerizing and thought-provoking.

For hundreds of saadat hasan manto quotes in urdu and literary excerpts please visit and watch shaoorparay on YouTube👇

Best Saadat Hasan Manto Quotes In Urdu About Politics

Read More About Saadat Hasan Manto Quotes In Urdu 👇

Best Manto Quotes In Urdu

Deep Manto Quotes In Urdu

Manto Quotes About Men And Women

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.