...

120 Amazing Wasif Ali Wasif Quotes In Urdu | Urdu Quotes

  1. اگر انسان صرف اپنے ماں باپ کے عمل سے پیدا ہوتا تو ماں باپ کو یہ حق ہونا چاہیے کہ وہ چاہیں تو بیٹے پیدا ہوں اور چاہیں تو بیٹیاں پیدا ہوں، لیکن ایسا نہیں ہے.

Agar insaan sirf apne maan baap ke amal se peda hota to maan baap ko yeh haq hona chahiye ke woh chahain to betay peda hon aur chahain to betiyan peda hon, lekin aisa nahi hai.

  1. انسان مسافر خانوں میں ہمیشہ آباد رہنا چاہتا ہے. قبرستان میں کھڑے ہو کر اپنے ہمیشہ رہنے کا بے بنیاد دعویٰ کرتا ہے.

Insaan musafir khaanoon mein hamesha abad rehna chahta hai, qabrustan mein kharray ho kar apne hamesha rehne ka be bunyaad daawa karta hai.

  1. ہم خیال لوگ ہم سفر ہو جائیں تو منزل آسان ہو جاتی ہے.

Hum khayaal log hum safar ho jayen to manzil aasaan ho jati hai.

  1. خوراک تھوڑی کھائی تو طاقت ملے گی وہی خوراک زیادہ کھائی تو طاقت چھن جائے گی.

Khoraak thori khayi to taaqat miley gi wohi khoraak ziyada khayi to taaqat chhin jaye gi.

  1. انسان اپنا بہت کچھ بدل سکتا ہے حتی کہ شکل بھی تبدیل کرسکتا ہے لیکن وہ فطرت نہیں بدل سکتا.

Insaan apna bohat kuch badal sakta hai hatta ke shakal bhi tabdeel karsaktha hai lekin woh fitrat nahi badal sakta.

  1. انسان کو انسانوں پر رعب جمانے اور انہیں جھڑکی دینے کا کوئی حق نہیں. یہ نقلی استحقاق صرف غرور نفس کا دھوکا ہے اور غرور کسی انسان میں اس وقت تک نہیں آسکتا، جب تک وہ بد قسمت نہ ہو.

Insaan ko insanon par roab jamanay aur inhen jhirki dainay ka koi haq nahi, yeh naqli istehqaq sirf ghuroor e nafs ka dhoka hai aur ghuroor kisi insaan mein us waqt tak nahi aasakta, jab tak woh bad qismat nah ho.

  1. جس کو آپ یاد کر رہے ہیں وہ بھی کسی نہ کسی صورت میں آپ کو یاد کر رہا ہے.

Jis ko aap yaad kar rahay hain woh bhi kisi nah kisi soorat mein aap ko yaad kar raha hai.

  1. جتنے عظیم لوگ تھے وہ غیر عظیم زمانوں میں آئے.

Jitne azeem log thay woh ghair azeem zamanoon mein aaye.

  1. دس کروڑ غلام مسلمان آزاد مملکت حاصل کر گئے اور آج بیس کروڑ آزاد مسلمان اس مملکت اور اس کی حفاظت کرنے کا حق ادا نہیں کر رہے.

Das crore ghulam musalman azad mumlikat haasil kar gaye aur aaj bees crore azad musalman is mumlikat aur is ki hifazat karne ka haq ada nahi kar rahay.

  1. علم اور عمل کے درمیان فاصلہ کم کرنا شریعت بھی ہے اور ولایت بھی.

Ilm aur amal ke darmiyan faasla kam karna Shariat bhi hai aur Wilayat bhi.

  1. اگر مرتبہ مل جائے اور استعداد نہ ہو تو اس سے بڑی آزمائش کوئی نہیں.

Agar martaba mil jaye aur istedad nah ho to is se barri azmaish koi nahi.

  1. نااہل کو اہلیت کا مقام مل جائے تو اس کی جان بھی خطرے میں ہوگی اور ایمان بھی.

Na ahal ko ahliat ka maqam mil jaye to is ki jaan bhi khatray mein hogi aur imaan bhi.

  1. مفید چیز مقدار میں بڑھ جائے تو غیر مفید ہو جاتی ہے.

Mufeed cheez miqdaar mein barh jaye to ghair mufeed ho jati hai.

  1. اگر آپ نے کسی کو قبول نہیں کیا تو یہ سمجھ لیں کہ کسی نے آپ کو قبول نہیں کیا

Agar aap ne kisi ko qubool nahi kya to yeh samajh len ke kisi ne aap ko qubool nahi kya.

  1. جب تک ہم والدین کے گھر میں رہتے ہیں ہم خوش رہتے ہیں اور جب شومئی قسمت اسی مکان میں ماں باپ ہمارے گھر میں رہنے لگیں تو ہم اچھا محسوس نہیں کرتے.

Jab tak hum walidain ke ghar mein rehtay hain hum khush rehtay hain aur jab shomyi qismat isi makaan mein maan baap hamaray ghar mein rehne lagen to hum acha mehsoos nahi karte.

  1. آج اتنا مشکل دور ہے کہ اس میں نیکی نہیں ہو سکتی، پھر بھی مساجد بھری پڑی ہیں.

Aaj itna mushkil daur hai ke is mein neki nahi ho sakti, phir bhi masajid bhari pari hain.

Sad Wasif Ali Wasif Quotes In Urdu

  1. کائنات کا کوئی غم ایسا نہیں ہے جو آدمی برداشت نہ کرسکے

kainaat ka koi gham aisa nahi hai jo aadmi bardasht nah kar sakay.

  1. کسی کا سکون برباد نہ کرو سکون مل جائے گا

Kisi ka sukoon barbaad nah karo sukoon mil jaye ga.

  1. تکلیف آتی ہے. ہمارے اعمال کی وجہ سے
    ہماری وسعتِ برداشت کے مطابق. اللہ کے حکم سے

Takleef aati hai, hamaray aamaal ki wajah se, hamari wusat bardasht ke mutabiq, Allah ke hukum se .

  1. ہر تکلیف ایک پہچان ہے اور یہ ایک بڑی تکلیف سے بچانے کے لئے آتی ہے

Har takleef aik pehchan hai aur yeh aik barri takleef se bachanay ke liye aati hai.

  1. اپنی ہستی سے زیادہ اپنا نام نہ پھیلاؤ نہیں تو پریشان ہو جاؤ گے.

Apni hasti se ziyada apna naam nah phelao nahi to pareshan ho jao ge.

  1. دل سے کدورت نکال دو سکون مل جائے گا.

Dil se kudorat nikaal do sukoon mil jaye ga.

  1. مایوسی راستے کا سب سے بڑا رہزن ہے.

Mayoosi rastay ka sab se bara rehzan hai.

  1. اتنا پھیلو کہ سمٹنا مشکل نہ ہو، اتنا حاصل کرو کہ چھوڑتے وقت تکلیف نہ ہو.

Itna phelo ke simatna mushkil nah ho, itna haasil karo ke chortay waqt takleef nah ho.

  1. صحت کے لئے خوراک ضروری ہے لیکن خوراک صحت نہیں.

Sehat ke liye khoraak zaroori hai lekin khoraak sehat nahi.

  1. خوش نصیب انسان وہ ہے جو اپنے نصیب پر خوش رہے.

Khush naseeb insaan woh hai jo apne naseeb par khush rahay.

  1. محبت سے دیکھو تو گلاب میں رنگ ملے گا، خوشبو ملے گی، نفرت سے دیکھو گے تو خار نگاہوں میں کھٹکیں گے.

Mohabbat se dekho to ghulaab mein rang miley ga, khushbu miley gi, nafrat se dekho to khar nigahon mein ge.

  1. جس نے اپنی زندگی کو قبول کرلیا اس نے خدا کو مان لیا.

Jis ne apni zindagi ko qubool karliya is ne khuda ko maan liya.

  1. بیدار کردینے والا غم غافل کردینے والی خوشی سے بہت بہتر ہے.

Bedaar kardainay wala gham ghaafil kardainay wali khushi se bohat behtar hai.

  1. ہمارے بعد دنیا ویسی ہی قائم و دائم رہے گی، جیسی ہمارے آنے سے پہلے تھی.

Hamaray baad duniya waisi hi qaim o daaim rahay gi, jaisi hamaray anay se pehlay thi.

  1. ہم لوگ فرعون کی زندگی چاہتے ہیں اور موسیٰ کی عاقبت.

Hum log firaon ki zindagi chahtay hain aur moosa ki aqibat.

  1. اس دنیا میں انسان نہ کچھ کھوتا ہے نہ پاتا ہے. وہ تو صرف آتا ہے اور جاتا ہے

Is duniya mein insaan nah kuch khota hai nah paata hai, woh to sirf aata hai aur jata hai.

  1. زندگی خدا سے ملی ہے خدا کے لئے استعمال کریں، دولت خدا سے ملی ہے خدا کی راہ میں استعمال کریں.

Zindagi Khuda sy mili hai Khuda k liy istemal krain, daulat Khuda sy mili hai khuda ki rah main istemal krain.

  1. دعا کرنے سے بہتر ہے کہ کسی دعا کرنے والے کو پالیا جائے.

Dua karne se behtar hai ke kisi dua karne walay ko pa liya jaye .

  1. سب سے بڑا بد قسمت انسان وہ ہے جو غریب ہو کر سنگ دل رہے.

Sab se bara badqismat insaan woh hai jo ghareeb ho kar sang dil rahay.

  1. زندہ رہنا چاہو تو موت قیامت ہے اور مرنا چاہو تو زندگی قیامت ہے.

Zindah rehna chaho to maut qayamat hai aur marna chaho to zindagi qayamat hai.

  1. انسان کا دل توڑنے والا شخص اللہ کی تلاش نہیں کرسکتا.

Insaan ka dil tornay wala shakhs Allah ki talaash nahi karsakta.

  1. خطرات کے باوجود زندگی وقت سے پہلے نہیں ختم ہوسکتی اور احتیاط کے باوجود زندگی وقت کے بعد قائم نہیں رہ سکتی

khatraat ke bawajood zindagi waqt se pehlay nahi khatam hosakti aur ahtiyat ke bawajood zindagi waqt ke baad qaim nahi reh sakti.

  1. جب تک آنکھ میں آنسو ہیں انسان خدا کا تصور ترک نہیں کر سکتا

Jab tak aankh mein ansoo hain insaan khuda ka tasawwur tark nahi kar sakta.

  1. گناہ ہر وہ عمل ہے جو تمہارے لئے نقصان دہ ہے

Gunah har woh amal hai jo tumahray liye nuqsaan deh hai.

  1. ہم ایک عظیم قوم بن سکتے ہیں اگر ہم معاف کرنا اور معافی مانگنا شروع کر دیں

Hum aik azeem qoum ban satke hain agar hum maaf karna aur maffi maangna shuru kar den.

  1. یقین کے ساتھ اُٹھایا ہوا پہلا قدم جو جانبِ منزل ہو، وہی منزل ہے.

Yaqeen ke sath uthaya huwa pehla qadam jo janib e manzil ho, wohi manzil hai.

  1. جس سفر کا انجام کامیابی ہے اس سفر کو ہی کامیابی کہنا چاہئے.

Jis safar ka anjaam kamyabi hai us safar ko hi kamyabi kehna chahiye.

  1. ذوقِ سفر کے بغیر کوئی راہ آسان نہیں ہوسکتی.

Zouq e safar ke baghair koi raah aasaan nahi hosakti.

  1. فرض اور شوق یکجا کر دو سکون مل جائے گا.

Farz aur shaoq yakja kar do sukoon mil jaye ga.

  1. اچھے لوگوں کا ملنا ہی اچھے مستقبل کی ضمانت ہے

Achay logon ka milna hi achay mustaqbil ki zamanat hai.

  1. مغرب کے ساتھ اس وقت مقابلہ کرو جب آپ مشرق بن جاؤ

Maghrib ke sath is waqt muqaabla karo jab aap mashriq ban jao.

  1. خواب کی اونچی اڑانیں بیان کرنے سے زندگی کی پستیاں ختم نہیں ہوتیں

Motivational Wasif Ali Wasif Quotes In Urdu

Khawab ki onchi uranain bayan karne se zindagi ki pastiyaan khatam nahi hoten.

  1. آسمانوں پر نگاہ ضرور رکھو لیکن یہ نہ بھولو کہ پاؤں زمین پر ہی رکھے جاتے ہیں

Asmano par nigah zaroor rakho lekin yeh nah bhulao ke paon zameen par hi rakhay jatay hain.

  1. سب سے بڑی قوت، قوتِ برداشت ہے.

Sab se barri qowat, qowat e bardasht hai.

  1. جو کسی مقصد کے لئے مرتے ہیں وہ مرتے نہیں ہیں اور جو بے مقصد جیتے ہیں وہ جیتے نہیں۔

Jo kisi maqsad ke liye martay hain woh martay nahi hain aur jo be maqsad jeetay hain woh jeetay nahi.

  1. پھول کی ایک دن کی زندگی کیکر کی کئی سال کی زندگی سے بہتر ہے.

Phool ki aik din ki zindagi keekar ki kayi saal ki zindagi se behtar hai.

  1. ترقی کے لئے محنت و مجاہدہ ضروری ہے لیکن یہ نہیں بھولنا چاہیئے کہ مجاہدہ ایک گدھے کو گھوڑا نہیں بنا سکتا.

Taraqqi ke liye mehnat o mujahida zaroori hai lekin yeh nahi bhoolna chahiye ke mujahida aik gadhay ko ghora nahi bana sakta.

  1. اپنے علم کو عمل میں لانے کے لئے یقین کے ساتھ ساتھ ایک رہنما کی ضرورت ہوتی ہے.

Apne ilm ko amal mein laane ke liye yaqeen ke sath sath aik rehnuma ki zaroorat hoti hai.

  1. گرو کی بات پر ایسے یقین کرو جیسے معصوم بچہ اپنے ماں باپ کی بات پر یقین کرتا ہے، اس بے یقینی کے دور میں یقین کا حاصل ہونا کرامت سے کم نہیں۔

Guru ki baat par aisay yaqeen karo jaisay masoom bacha apne maan baap ki baat par yaqeen karta hai, is beyakeeni ke daur mein yaqeen ka haasil hona karamat se kam nahi.

  1. اولاد کو زمانہ جدید کے مطابق تعلیم دو تاکہ رزق کما سکیں اور دین کا علم دو تاکہ وہ برباد نہ ہوجائیں

Aulaad ko zamana jadeed ke mutabiq taleem do taakay rizaq kama saken aur deen ka ilm do taakay woh barbaad nah ho jaien.

  1. جتنے عظیم لوگ تھے وہ غیر عظیم زمانوں میں آئے

Jitne azeem log thay woh ghair azeem zamanoon mein aaye.

  1. دوسروں کی خامی آپ کی خوبی نہیں بن سکتی

Doosron ki khaami aap ki khoobi nahi ban sakti.

  1. کسی شے سے اس کی فطرت کے خلاف کام لینا ظلم ہے

Kisi shai se is ki fitrat ke khilaaf kaam lena zulm hai.

  1. دور کا کوئی مقام ایسا نہیں جو قریب نہ آ سکے

Door ka koi maqam aisa nahi jo qareeb nah aa sakay.

  1. آپ کی اپنی ذاتی کائنات میں آپ نے جتنا اللہ کا حصہ رکھا ہے اتنا ہی اللہ کی کائنات میں آپ کا حصہ ہے

Aap ki apni zaati kainaat mein aap ne jitna Allah ka hissa rakha hai itna hi Allah ki kainaat mein apka hisa hai.

  1. تسلیم کے بعد تحقیق گمراہ کر دیتی ہے

Tasleem ke baad tehqeeq gumraah kar deti hai.

  1. انسان جتنی محنت خامی چھپانے میں صرف کرتا ہے اتنی محنت میں خامی دور کی جاسکتی ہے

Insaan jitni mehnat khaami chupanay mein sarf karta hai itni mehnat mein khaami door ki ja sakti hai.

  1. دور سے آنے والی آواز بھی اندھیرے میں روشنی کا کام کرتی ہے

Door se anay wali aawaz bhi andheray mein roshni ka kaam karti hai.

  1. صاحبِ حال سے تعلق صاحبِ حال بنا دیتا ہے

Sahib e haal se talluq sahib e haal bana deta hai.

  1. دنیا میں سب سے آسان کام کسی کو نصیحت کرنا ہے اور سب سے مشکل کام نصیحت پر عمل کرنا ہے

Duniya mein sab se aasaan kaam kisi ko naseehat karna hai aur sab se mushkil kaam naseehat par amal karna hai.

119- دین سے اس طرح محبت کرو جس طرح دنیا دار دنیا سے محبت کرتا ہے.

Deen se is tarah mohabbat karo jis tarah duniya daar duniya se mohabbat karta hai.

120- حال کی غلطی جو مستقبل میں اپنے لئے سزا مرتب کر چکی ہے یا لکھ چکی ہے اس سے بچانے والی شئے رحمت کہلاتی ہے.

Haal ki ghalti jo mustaqbil mein apne liye saza muratib kar chuki hai ya likh chuki hai us se bachane wali shai rehmat kehlati hai.

Wasif Ali Wasif Quotes About Life
Wasif Ali Wasif Quotes In Urdu

Also Read 25 Mind Blowing Famous Quaid E Azam Quotes In Urdu

1 thought on “120 Amazing Wasif Ali Wasif Quotes In Urdu | Urdu Quotes”

Leave a Comment

Seraphinite AcceleratorOptimized by Seraphinite Accelerator
Turns on site high speed to be attractive for people and search engines.